tu ne puchha hai mere dost!
tū ne pūchhā hai mire dost to maiñ sochtī huuñ
vo jo ik chiiz hai duniyā jise ġham kahtī hai
mujhe taslīm, mirā us se ilāqa na rahā
zindagī goyā koī sej rahī phūloñ kī
phir vo kyā hai ki jo kāñToñ sī chubhā kartī hai
maiñ ne dekhī haiñ vo be-mehr nigāheñ ai dost
jin kī begānagī dil chiir diyā kartī hai
maiñ ne ghūme haiñ vo tanhā.ī ke āseb-nagar
jin kī sarhad pe kahīñ maut phirā kartī hai
maiñ ne kaaTī haiñ vo sub.heñ ki jabīñ par jin kī
tīrgī barf ke mānind girā kartī hai
apne āñgan meñ milī vahshat-e-sahrā mujh ko
ġhairiyat jis meñ bagūloñ sī uḌā kartī hai
kaun samjhegā ki ne.amat se bharī jannat meñ
ajnabiyyat ke azāboñ kī malāmat kyā hai
mehr-o-altāf-o-ināyat ke fusūñ-ḳhāne meñ
paas rahte hue duurī kī aziyyat kyā hai
zindagī kī to alāmat hai ye ehsās magar
jaañ nikāle jo, ye ehsās kī shiddat kyā hai
dard har ek umūmī nahīñ hotā varna
koī kah de to hameñ kahne kī hājat kyā hai
zindagī ho bhī aur ehsās kī suulī pe rahe
dast-e-qudrat kī ḳhudā jāniye ġhāyat kyā hai
jaane kyuuñ hai ki sahar-kārī-e-taḳh.īl kā dam
roz-o-fardā meñ badalte hue ghaT jaatā hai
apnī ta.abīr meñ Dhalte hue afsūñ kā sirā
jaane kis taur kaf-e-ḳhvāb se chhuT jaatā hai
jab bhī lā-hāsilī imkān kī manzil dekhe
rah meñ asbāb-e-tamannā kahīñ luT jaatā hai
mil ke bhī kuchh nahīñ miltā hai jahāñ dost mire!
e'tibār-e-ġham-e-hastī vahāñ uTh jaatā hai
tū ne pūchhā hai mire dost to maiñ sochtī huuñ
apnā kyā haal batā.ūñ jo samajh aa jaa.e!
tu ne puchha hai mere dost to main sochti hun
wo jo ek chiz hai duniya jise gham kahti hai
mujhe taslim, mera us se ilaqa na raha
zindagi goya koi sej rahi phulon ki
phir wo kya hai ki jo kanTon si chubha karti hai
main ne dekhi hain wo be-mehr nigahen ai dost
jin ki beganagi dil chir diya karti hai
main ne ghume hain wo tanhai ke aaseb-nagar
jin ki sarhad pe kahin maut phira karti hai
main ne kaTi hain wo subhen ki jabin par jin ki
tirgi barf ke manind gira karti hai
apne aangan mein mili wahshat-e-sahra mujh ko
ghairiyat jis mein bagulon si uDa karti hai
kaun samjhega ki neamat se bhari jannat mein
ajnabiyyat ke azabon ki malamat kya hai
mehr-o-altaf-o-inayat ke fusun-KHane mein
pas rahte hue duri ki aziyyat kya hai
zindagi ki to alamat hai ye ehsas magar
jaan nikale jo, ye ehsas ki shiddat kya hai
dard har ek umumi nahin hota warna
koi kah de to hamein kahne ki hajat kya hai
zindagi ho bhi aur ehsas ki suli pe rahe
dast-e-qudrat ki KHuda jaaniye ghayat kya hai
jaane kyun hai ki sahar-kari-e-taKHil ka dam
roz-o-farda mein badalte hue ghaT jata hai
apni tabir mein Dhalte hue afsun ka sira
jaane kis taur kaf-e-KHwab se chhuT jata hai
jab bhi la-hasili imkan ki manzil dekhe
rah mein asbab-e-tamanna kahin luT jata hai
mil ke bhi kuchh nahin milta hai jahan dost mire!
e'tibar-e-gham-e-hasti wahan uTh jata hai
tu ne puchha hai mere dost to main sochti hun
apna kya haal bataun jo samajh aa jae!
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 104)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.