tufan
zabardast tūfān hai
har samt shor-e-qayāmat bapā hai
tanāvar daraḳhtoñ ke girne kā manzar
baḌā hī bhayānak hai
jangal meñ shorish hai barpā
'ajab nafsī-nafsī kā 'ālam
har ik bad-havāsī meñ chāroñ taraf
dauḌtā bhāgtā phir rahā hai
sabhī tez tūfān meñ ghir ga.e haiñ
nikalne kī koī bhī sūrat nahīñ hai
har ik apnī bharpūr tāqat se chillā rahā hai
magar kuchh sunā.ī nahīñ paḌ rahā hai
nahīñ apnī āvāz bhī ab
qayāmat ke is shor meñ
zabardast tūfāñ hai
zabardast tufan hai
har samt shor-e-qayamat bapa hai
tanawar daraKHton ke girne ka manzar
baDa hi bhayanak hai
jangal mein shorish hai barpa
'ajab nafsi-nafsi ka 'alam
har ek bad-hawasi mein chaaron taraf
dauDta bhagta phir raha hai
sabhi tez tufan mein ghir gae hain
nikalne ki koi bhi surat nahin hai
har ek apni bharpur taqat se chilla raha hai
magar kuchh sunai nahin paD raha hai
nahin apni aawaz bhi ab
qayamat ke is shor mein
zabardast tufan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.