TuT baTuT ka tota
TuuT baTūT kā ik totā hai
umr hai us kī hafte aaTh
miyāñ miTThū naam hai us kā
sab kahte haiñ miyāñ maaTh
vaah miyāñ miTThū tere ThāTh
jo kuchh us ke sāmne aa.e
muñh meñ Daale aur chabā.e
choñch to us kī ek hai lekin
daañt haiñ us ke puure saaTh
vaah miyāñ miTThū tere ThāTh
bicycle bus motor laarī
har ik shai kī kare savārī
yakkā rehḌā bambū kaaTh
vaah miyāñ miTThū tere ThāTh
raat ko khaa.e mīThī chūrī
din ko khaa.e halva puurī
sub.h ko khaa.e assī laDDū
shaam ko khaa.e anDe saaTh
vaah miyāñ miTThū tere ThāTh
peT hai us kā itnā moTā
jaise devoñ kā ho loTā
Tāñgeñ us kī itnī lambī
jaise qutub sāhib kī laaTh
vaah miyāñ miTThū tere ThāTh
TuT baTuT ka ek tota hai
umr hai us ki hafte aaTh
miyan miTThu nam hai us ka
sab kahte hain miyan maTh
wah miyan miTThu tere ThaTh
jo kuchh us ke samne aae
munh mein Dale aur chabae
chonch to us ki ek hai lekin
dant hain us ke pure saTh
wah miyan miTThu tere ThaTh
bicycle bus motor lari
har ek shai ki kare sawari
yakka rehDa bambu kaTh
wah miyan miTThu tere ThaTh
raat ko khae miThi churi
din ko khae halwa puri
subh ko khae assi laDDu
sham ko khae anDe saTh
wah miyan miTThu tere ThaTh
peT hai us ka itna moTa
jaise dewon ka ho loTa
Tangen us ki itni lambi
jaise qutub sahib ki laTh
wah miyan miTThu tere ThaTh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.