TuT baTuT ke chuhe
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
ye jitne chūhe dekhte ho
kuchh gaañv ke haiñ kuchh jangal ke
kuchh rahne vaale jehlam ke
kuchh baasī kaththo nangal ke
kuchh laDDan kuchh mamdūT ke haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
ham shāhī nasl ke chūhe haiñ
ye taḳht aur taaj hamārā hai
har gaañv meñ apnī shāhī hai
har shahr meñ raaj hamārā hai
ham raaje shāhī coat ke haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
ham baḌe hī kaam ke chūhe haiñ
ye sher miyāñ kis kaam kā hai
ham aslī sher bahādur haiñ
ye sher bahādur naam kā hai
ham faujī shāhī coat ke haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
tum jānte ho ye bī maano
kyoñ myā.un myā.un kartī hai
ye billī ham se dabtī hai
ye billī ham se Dartī hai
ham bille bāġhaḌ booT ke haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
yuuñ zāhir meñ kamzor haiñ ham
par jab bhī mauj meñ aate haiñ
ye kutte gīdaḌ chiiz haiñ kyā
ham sher ko bhī khā jaate haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
ham chūhe TuuT baTūT ke haiñ
hum chuhe TuT baTuT ke hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
ye jitne chuhe dekhte ho
kuchh ganw ke hain kuchh jangal ke
kuchh rahne wale jehlam ke
kuchh basi kaththo nangal ke
kuchh laDDan kuchh mamduT ke hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
hum shahi nasl ke chuhe hain
ye taKHt aur taj hamara hai
har ganw mein apni shahi hai
har shahr mein raj hamara hai
hum raje shahi coat ke hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
hum baDe hi kaam ke chuhe hain
ye sher miyan kis kaam ka hai
hum asli sher bahadur hain
ye sher bahadur nam ka hai
hum fauji shahi coat ke hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
tum jaante ho ye bi mano
kyon myaun myaun karti hai
ye billi hum se dabti hai
ye billi hum se Darti hai
hum bille baghaD booT ke hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
yun zahir mein kamzor hain hum
par jab bhi mauj mein aate hain
ye kutte gidaD chiz hain kya
hum sher ko bhi kha jate hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
hum chuhe TuT baTuT ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.