TuTa hua ufuq
miyāñvālī bhī apnī rut badaltā hai magar
mire dil kī zamīnoñ par
vahī mausam ḳhizāñ kā
vahī be-shakl chehra āsmāñ kā
vahī be-āb dariyā dāstāñ kā
vahī be-rūh manzar haiñ
vahī be-rañg tasvīreñ
vahī chashme vahī, ublā huā paanī
daraḳhtoñ se
musalsal bhaap ban kar uTh rahā hai
pighaltī jā rahī haiñ merī rāteñ
savā neze pe sūraj hai
magar shab kī siyāhī uḌ rahī hai merī miTTī meñ
mire andar kī fasleñ
tīrgī kī dhuup meñ murjhā ga.ī haiñ
mujhe koī shikast-e-zāt kī illat batā de!
miyanwali bhi apni rut badalta hai magar
mere dil ki zaminon par
wahi mausam KHizan ka
wahi be-shakl chehra aasman ka
wahi be-ab dariya dastan ka
wahi be-ruh manzar hain
wahi be-rang taswiren
wahi chashme wahi, ubla hua pani
daraKHton se
musalsal bhap ban kar uTh raha hai
pighalti ja rahi hain meri raaten
sawa neze pe suraj hai
magar shab ki siyahi uD rahi hai meri miTTi mein
mere andar ki faslen
tirgi ki dhup mein murjha gai hain
mujhe koi shikast-e-zat ki illat bata de!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 363)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.