TuTa tara
raat ko TuuTā ek sitāra
uupar se luḌhkā bechāra
kartā thā duniyā kā nazāra
chiknā thā chhajje kā kinārā
phislā vo shāmat kā maarā
chhūT gayā jañgle kā sahārā
raat ko TuuTā ek sitārā
uupar se luḌhkā bechāra
koī ye samjhe ġhota maarā
aadhī raat baje the bārah
sotā hai jab aalam saarā
raat ko TuuTā ek sitārā
uupar se luḌhkā bechāra
chāñd ne āḳhir de ke sahārā
sahn meñ apne us ko utārā
pahle chumkārā puchkārā
kaañp rahā thā thar thar saarā
ghar pahuñchāyā us ko dobāra
dekho taare ab mat girnā
achchhā nahīñ chhajjoñ par phirnā
ab ke gayā gar jañglā chhūT
to tum jāoge bilkul TuuT
raat ko TuTa ek sitara
upar se luDhka bechaara
karta tha duniya ka nazara
chikna tha chhajje ka kinara
phisla wo shamat ka mara
chhuT gaya jangle ka sahaara
raat ko TuTa ek sitara
upar se luDhka bechaara
koi ye samjhe ghota mara
aadhi raat baje the barah
sota hai jab aalam sara
raat ko TuTa ek sitara
upar se luDhka bechaara
chand ne aaKHir de ke sahaara
sahn mein apne us ko utara
pahle chumkara puchkara
kanp raha tha thar thar sara
ghar pahunchaya us ko dobara
dekho tare ab mat girna
achchha nahin chhajjon par phirna
ab ke gaya gar jangla chhuT
to tum jaoge bilkul TuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.