TuTe shishe ki aaKHiri nazm
TuuTe shīshe kī āḳhirī nazm
bhāgte vaqt ko maiñ aaj pakaḌ laayā huuñ
ye mirā vaqt mire zehn kī taḳhlīq sahī
raat aur din ke tasalsul ko pareshāñ kar ke
maiñ ne lamhāt ko ik ruup diyā
sub.h ko raat kī zanjīr se āzād kiyā
ḳhvāb-o-bedī kī dīvār girā dī maiñ ne
zindagī maut se kab tak yuuñ hirāsāñ rahtī
kyā huā vaqt o haqīqat kā zavāl
maiñ
apnī TuuTī huī zanjīr kahāñ dafn karūñ
har taraf qabreñ mujāvir haiñ
devtāoñ ke muqaddas ajsām
har jagah dafn haiñ
koī vīrāna nahīñ duur talak
kyā mujhe apne hī zehn ke is goshe meñ
TuuTe ādarshoñ ke ā.īne meñ
vaqt ke aks ko dafnānā hai
TuTe shishe ki aaKHiri nazm
bhagte waqt ko main aaj pakaD laya hun
ye mera waqt mere zehn ki taKHliq sahi
raat aur din ke tasalsul ko pareshan kar ke
main ne lamhat ko ek rup diya
subh ko raat ki zanjir se aazad kiya
KHwab-o-bedi ki diwar gira di main ne
zindagi maut se kab tak yun hirasan rahti
kya hua waqt o haqiqat ka zawal
main
apni TuTi hui zanjir kahan dafn karun
har taraf qabren mujawir hain
dewtaon ke muqaddas ajsam
har jagah dafn hain
koi virana nahin dur talak
kya mujhe apne hi zehn ke is goshe mein
TuTe aadarshon ke aaine mein
waqt ke aks ko dafnana hai
- Book : Dastavez (Pg. 297)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.