TuTi hui rassi
ab vo safar meñ saath le jaane vaale
bistar-band ke kaam aatī hai
aur kabhī kabhī bachche apnī TuuTī huī
be-pahiyoñ kī gaaḌī se
use bāñdh dete haiñ
bahut din pahle
vo do diloñ se bañdhī thī
jab chyūñTiyāñ dikhātī thiiñ us par
apnī bāzīgarī
muñh meñ ġhizā dabā.e
idhar se udhar iThlātī huī
kabhī kabhī parinde
apnī apnī uḌānoñ se thak kar
us par baiTh jaate the
jab ye bhīgtī thī
bārishoñ meñ
señktī thī bahāroñ kī dhuup
kabhī kabhī ye ban jaatī thī
rañg-bi-rañg ke kapḌoñ kī alganī
TuuTī huī rassī se juḌe
dil
ab kahāñ haiñ?
ab wo safar mein sath le jaane wale
bistar-band ke kaam aati hai
aur kabhi kabhi bachche apni TuTi hui
be-pahiyon ki gaDi se
use bandh dete hain
bahut din pahle
wo do dilon se bandhi thi
jab chyunTiyan dikhati thin us par
apni bazigari
munh mein ghiza dabae
idhar se udhar iThlati hui
kabhi kabhi parinde
apni apni uDanon se thak kar
us par baiTh jate the
jab ye bhigti thi
barishon mein
senkti thi bahaaron ki dhup
kabhi kabhi ye ban jati thi
rang-bi-rang ke kapDon ki algani
TuTi hui rassi se juDe
dil
ab kahan hain?
- Book : hairat ke us paar (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.