TV
bachcho dekho ye T.V hai
is meñ ḳhūbī hī ḳhūbī hai
detā hai ye sachchī ḳhabreñ
saath meñ ḳhabroñ ke tasvīreñ
is meñ dikhte haiñ sab mele
nāTak manzar railī jalse
khel khilāḌī kashtī dañggal
baaġh pahāḌī khetī jañgal
jhiil samundar naddī jharnā
bastī vīrāna aur sahrā
saare darinde aur charinde
machhlī meñDak aur parinde
is meñ sab chīzeñ dikhtī haiñ
sair-e-jahāñ āñkheñ kartī haiñ
bachcho dekho ye TV hai
is mein KHubi hi KHubi hai
deta hai ye sachchi KHabren
sath mein KHabron ke taswiren
is mein dikhte hain sab mele
naTak manzar raili jalse
khel khilaDi kashti danggal
bagh pahaDi kheti jangal
jhil samundar naddi jharna
basti virana aur sahra
sare darinde aur charinde
machhli meinDak aur parinde
is mein sab chizen dikhti hain
sair-e-jahan aankhen karti hain
- Book : Tazgi (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.