tyag ke patthar
dariyā ke biich khaḌā
tyaag aur moksh ke ḳhvāb dekh rahā huuñ
tārikudduniyā
alā.eq se mahfūz
alā.eq se āzād
lahreñ jab paañv chhūtī haiñ
yaad aatā hai bargad kā ghanā peḌ
mausamoñ kī gardish
be-samt havāoñ ke sard garm thapeḌe
dhyān lauT aatā hai
ghar ke bargad kī muhāfiz chhāñv kī jānib
sunahrī dhuup kī sabz oT
muktī ke dvaar
mujh par khol detī hai
ḳharīd lūñgā kabhī
bāzār se budh kā
ek mujassama
use shelf par sajā dūñgā
taskīn milegī
man shānt rahegā
dariya ke bich khaDa
tyag aur moksh ke KHwab dekh raha hun
tarikudduniya
alaeq se mahfuz
alaeq se aazad
lahren jab panw chhuti hain
yaad aata hai bargad ka ghana peD
mausamon ki gardish
be-samt hawaon ke sard garm thapeDe
dhyan lauT aata hai
ghar ke bargad ki muhafiz chhanw ki jaanib
sunahri dhup ki sabz oT
mukti ke dwar
mujh par khol deti hai
KHarid lunga kabhi
bazar se budh ka
ek mujassama
use shelf par saja dunga
taskin milegi
man shant rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.