Typist
din Dhalā jaatā hai Dhal jā.egā kho jā.egā
reg-aTī darz se dar aa.ī hai ik zard kiran
dekh kar mez ko dīvār ko almārī ko
filoñ, kāġhazoñ, bikhrī huī tahrīroñ ko
phir usī darz se ghabrā ke nikal jā.egī
aur bāhar vo bhalī dhūp, sunahrī kirneñ
jo kabhī abr ke āġhosh meñ chhup jaatī haiñ
kabhī peḌoñ ke ḳhunuk sāyoñ meñ lahrā.ī haiñ
paas hī peḌ pe hudhud kī khaTā-khaT khaT-khaT
aur niDhāl uñgliyāñ kahtī haiñ thakā-thak thak-thak
mahz abjad kī badaltī huī be-his tartīb
lafz hī lafz pe ehsās na armāñ koī
aur armān vo bhaTke hue raahī jin ke
saath saath aate hue bhuut kī sūrat ḳhadshe
sard hāthoñ se kabhī paañv jakaḌ lete haiñ
aur kabhī āhanī dīvār uThā dete haiñ
maiñ ne dekhā hai kahīñ ghir ke jab aa.e bādal
chīḳh uThe log ki ab khetiyāñ lahrā.eñgī
maiñ ne dekhe haiñ tamannāoñ ke banjar anjām
kis tavaqqo.a pe sañvarne lagī phir sochtī shaam
kis kī āñkhoñ kī chamak rāsta dikhlātī hai
phir vahī qumquma-e-shab kī tarah ḳhanda-e-lab
kahe jaatā hai: chalī aao, chalī bhī aao
lekin is ḳhanda ke us paar vahī pul kī talab
''yūñ to maiñ sirf tumhārā huuñ magar kyā kiije
ba.az majbūriyāñ....'' majbūriyāñ! maiñ jāntī huuñ
jāntī huuñ ki ga.e vaqt ko kis ne rokā
vaqt aatā hai guzar jaatā hai bas duur hī duur
ek din vaqt baḌe chain se so jā.egā
din Dhalā jaatā hai Dhal jaa.e gā kho jā.egā
din Dhala jata hai Dhal jaega kho jaega
reg-aTi darz se dar aai hai ek zard kiran
dekh kar mez ko diwar ko almari ko
filon, kaghazon, bikhri hui tahriron ko
phir usi darz se ghabra ke nikal jaegi
aur bahar wo bhali dhup, sunahri kirnen
jo kabhi abr ke aaghosh mein chhup jati hain
kabhi peDon ke KHunuk sayon mein lahrai hain
pas hi peD pe hudhud ki khaTa-khaT khaT-khaT
aur niDhaal ungliyan kahti hain thaka-thak thak-thak
mahz abjad ki badalti hui be-his tartib
lafz hi lafz pe ehsas na arman koi
aur arman wo bhaTke hue rahi jin ke
sath sath aate hue bhut ki surat KHadshe
sard hathon se kabhi panw jakaD lete hain
aur kabhi aahani diwar uTha dete hain
main ne dekha hai kahin ghir ke jab aae baadal
chiKH uThe log ki ab khetiyan lahraengi
main ne dekhe hain tamannaon ke banjar anjam
kis tawaqqoa pe sanwarne lagi phir sochti sham
kis ki aankhon ki chamak rasta dikhlati hai
phir wahi qumquma-e-shab ki tarah KHanda-e-lab
kahe jata hai: chali aao, chali bhi aao
lekin is KHanda ke us par wahi pul ki talab
yun to main sirf tumhaara hun magar kya kije
baz majburiyan majburiyan! main jaanti hun
jaanti hun ki gae waqt ko kis ne roka
waqt aata hai guzar jata hai bas dur hi dur
ek din waqt baDe chain se so jaega
din Dhala jata hai Dhal jae ga kho jaega
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.