uDan
man kā ye āñchal
chāhtā to hai
khule āsmān meñ uḌnā
hausla hai
dishā.eñ haiñ
aur pañkh bhī haiñ uḌne ke liye
magar
use uḌne se inkār hai
ki
ab bhī us kā koī sirā
zamīn se juḌā hai
shāyad
man ka ye aanchal
chahta to hai
khule aasman mein uDna
hausla hai
dishaen hain
aur pankh bhi hain uDne ke liye
magar
use uDne se inkar hai
ki
ab bhi us ka koi sira
zamin se juDa hai
shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.