udas mausam ke ratjagon mein
udaas mausam ke ratjagoñ meñ
har ek lamha bikhar gayā thā
har ek rasta badal gayā thā
phir aise mausam meñ kaun aa.e
koī to jaa.e
tire nagar kī masāfatoñ ko sameT laa.e
tirī galī meñ hamārī socheñ bikher aa.e
tujhe batā.e ki kaun kaise
uchhāltā hai vafā ke motī
tumhārī jānib koī to jaa.e
mirī zabāñ meñ tujhe bulā.e tujhe manā.e
hamārī hālat tujhe batā.e tujhe rulā.e
to apne dil ko bhī chain aa.e
udas mausam ke ratjagon mein
har ek lamha bikhar gaya tha
har ek rasta badal gaya tha
phir aise mausam mein kaun aae
koi to jae
tere nagar ki masafaton ko sameT lae
teri gali mein hamari sochen bikher aae
tujhe batae ki kaun kaise
uchhaalta hai wafa ke moti
tumhaari jaanib koi to jae
meri zaban mein tujhe bulae tujhe manae
hamari haalat tujhe batae tujhe rulae
to apne dil ko bhi chain aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.