udas sham ki ek nazm
visāl-rut kī ye pahlī dastak hī sarzanish hai
ki hijr-mausam ne raste raste safar kā āġhāz kar diyā hai
tumhāre hāthoñ kā lams jab bhī mirī vafā kī hatheliyoñ par hinā banegā
to soch lūñgī
rafāqatoñ kā sunahrā sūraj ġhurūb ke imtihān meñ hai
hamāre bāġhoñ se gar kabhī titliyoñ kī ḳhushbū guzar na paa.e to ye na kahnā
ki titliyoñ ne gulāb-raste badal liye haiñ
agar koī shaam yuuñ bhī aa.e ki jis meñ ham tum lageñ parā.e
to jaan lenā
ki shaam be-bas thī shab kī tārīkiyoñ ke hāthoñ
tumhārī ḳhvāhish kī muTThiyāñ be-dhiyaniyoñ meñ kabhī khuleñ to yaqīn karnā
ki merī chāhat ke jugnuoñ ne
tumhāre hāthoñ ke lams-e-tāza kī ḳhvāhishoñ meñ
baḌe ghanere añdhere kaaTe
magar ye ḳhadshe, ye vasvase to takallufan haiñ
jo be-irāda safar pe nikleñ
to ye to hotā hai ye to hogā
ham apne jazboñ ko munjamid rā.egāñiyoñ ke supurd kar ke
ye soch leñge
ki hijr-emausam to vasl kī pahlī shaam se hī
safar kā āġhāz kar chukā thā
visal-rut ki ye pahli dastak hi sarzanish hai
ki hijr-mausam ne raste raste safar ka aaghaz kar diya hai
tumhaare hathon ka lams jab bhi meri wafa ki hatheliyon par hina banega
to soch lungi
rafaqaton ka sunahra suraj ghurub ke imtihan mein hai
hamare baghon se gar kabhi titliyon ki KHushbu guzar na pae to ye na kahna
ki titliyon ne gulab-raste badal liye hain
agar koi sham yun bhi aae ki jis mein hum tum lagen parae
to jaan lena
ki sham be-bas thi shab ki tarikiyon ke hathon
tumhaari KHwahish ki muTThiyan be-dhiyaniyon mein kabhi khulen to yaqin karna
ki meri chahat ke jugnuon ne
tumhaare hathon ke lams-e-taza ki KHwahishon mein
baDe ghanere andhere kaTe
magar ye KHadshe, ye waswase to takallufan hain
jo be-irada safar pe niklen
to ye to hota hai ye to hoga
hum apne jazbon ko munjamid raeganiyon ke supurd kar ke
ye soch lenge
ki hijr-emausam to wasl ki pahli sham se hi
safar ka aaghaz kar chuka tha
- Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 53)
- Author : Noshi Gilani
- Publication : Shirkat Printing Press Lahore (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.