abhī jañg jaarī hai
jalne lagīñ bastiyāñ
uTh rahā hai dhuāñ
ek ḳhūñ-rez dariyā daraḳhtoñ ko sairāb kartā hai
jañgal mai-e-nāb se kitnā masrūr hai
jañgal jaarī kahāñ hai
vo dekho pahāḌoñ ke daroñ meñ bhagdaḌ machī hai
bikhartī huī fauj ke sūrmā
piiTh par zaḳhm khāne ke shaidā
unhīñ kī hai mīrās saarī udāsī
jo bastī ke khetoñ meñ
gandum ke ḳhoshoñ meñ chhup kar
shikam meñ utartī hai
tārīk kamroñ meñ muñh ko chhupātī hai
āvāz de koī āvāz de
aao barfīlī choTī pe dauḌeñ
samundar meñ ġhote lagā.eñ
ta.āqub kareñ maut kā
aur aisā bhī ho
zindagī tohfa-e-jañg
dauḌāte ghoḌe se
bāñhoñ meñ le kar nikal jaa.eñ sarpaT kahīñ
do-ghaḌī ke liye
abhī jañg jaarī hai
jañgal ko sairāb kartā hai ḳhūñ-rez dariyā
ki jañgal kā qānūn bhī to yahī hai
abhi jang jari hai
jalne lagin bastiyan
uTh raha hai dhuan
ek KHun-rez dariya daraKHton ko sairab karta hai
jangal mai-e-nab se kitna masrur hai
jangal jari kahan hai
wo dekho pahaDon ke daron mein bhagdaD machi hai
bikharti hui fauj ke surma
piTh par zaKHm khane ke shaida
unhin ki hai miras sari udasi
jo basti ke kheton mein
gandum ke KHoshon mein chhup kar
shikam mein utarti hai
tarik kamron mein munh ko chhupati hai
aawaz de koi aawaz de
aao barfili choTi pe dauDen
samundar mein ghote lagaen
taaqub karen maut ka
aur aisa bhi ho
zindagi tohfa-e-jang
dauDate ghoDe se
banhon mein le kar nikal jaen sarpaT kahin
do-ghaDi ke liye
abhi jang jari hai
jangal ko sairab karta hai KHun-rez dariya
ki jangal ka qanun bhi to yahi hai
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 26)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.