udasi ek laDki hai
december kī ghanī rātoñ meñ
jab bādal barastā hai
laraztī ḳhāmushī
jab baal khole
corridoroñ meñ sisaktī hai
to ātish-dān ke aage
kahīñ se vo dabe-pāñv
mire pahlū meñ aatī hai
aur apne marmarīñ hāthoñ se
mere baal suljhāte hue
sargoshiyoñ meñ dard ke qisse sunātī hai
july kī do-pahreñ
mumTiyoñ se jab utar kar
āñganoñ meñ phail jaatī haiñ
aur ik āvāra sannāTā
chhatoñ par bhārī qadmoñ se
baḌī āhistagī ke saath chaltā hai
to vo chupke se mere paas aatī hai
aur apne dhīme lahje meñ
vo saarī dāstāneñ kah sunātī hai
jinheñ sun kar maiñ dhīmī aañch par
pahroñ sulagtā huuñ
kisī girje ke vīrāñ lawn meñ
jab january
apne sunahrī gesuoñ ko khol kar
koī purānā giit gaatī hai
to vo ik an-chhūī nan kī tarah
patthar ke benchoñ par
mire kāñdhe pe sar rakkhe
mire chehre pe apnī uñgliyoñ se
sog likhtī hai
kisī vaadī ke tanhā Dāk-bañgle meñ
kabhī jab shaam rotī hai
siyah kaafī ke pyāloñ se
lapaktī bhaap meñ
bātoñ ke biscuit phuul jaate haiñ
to vo bhī jañgalī beloñ se
uThtī ḳhushbuoñ se jism paatī hai
mire nazdīk aatī hai
mirī sāñsoñ kī pagDanDī pe
dhīre dhīre chaltī hai
mire andar utartī hai
december ki ghani raaton mein
jab baadal barasta hai
larazti KHamushi
jab baal khole
corridoron mein sisakti hai
to aatish-dan ke aage
kahin se wo dabe-panw
mere pahlu mein aati hai
aur apne marmarin hathon se
mere baal suljhate hue
sargoshiyon mein dard ke qisse sunati hai
july ki do-pahren
mumTiyon se jab utar kar
aanganon mein phail jati hain
aur ek aawara sannaTa
chhaton par bhaari qadmon se
baDi aahistagi ke sath chalta hai
to wo chupke se mere pas aati hai
aur apne dhime lahje mein
wo sari dastanen kah sunati hai
jinhen sun kar main dhimi aanch par
pahron sulagta hun
kisi girje ke viran lawn mein
jab january
apne sunahri gesuon ko khol kar
koi purana git gati hai
to wo ek an-chhui nan ki tarah
patthar ke benchon par
mere kandhe pe sar rakkhe
mere chehre pe apni ungliyon se
sog likhti hai
kisi wadi ke tanha Dak-bangle mein
kabhi jab sham roti hai
siyah kafi ke pyalon se
lapakti bhap mein
baaton ke biscuit phul jate hain
to wo bhi jangali belon se
uThti KHushbuon se jism pati hai
mere nazdik aati hai
meri sanson ki pagDanDi pe
dhire dhire chalti hai
mere andar utarti hai
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 119)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.