udasi ka pahla ghaw
tumheñ kab milā
pahlī baar jab vo tum ko apne panjoñ se
khurach rahī thī
kyā tum ne hathiyār Daal diye the
yā apne āñsūon meñ ghol kar
us paanī ko āsmān par uchhāl diyā thā
ye raaz kī baat hai
mohabbat kone-khudre meñ paḌī
sūkhe nivāle chabāne meñ lagī hai
us ke paas luaab bhī nahīñ hai
nivāle chabāne kī āvāz kitne saal tumhārī nīndeñ
ḳharāb kartī rahī
āḳhir ye vaqt aa gayā
ki udāsī ke ghaav ne
pai-dar-pai tumheñ ulTiyāñ karne par majbūr kar diyā
ulTiyāñ jo vahshatoñ kī khaḌāoñ pahne
tumhārī chaukhaT se bāhar jaatī logoñ ko nazar aa.eñ
tumhein kab mila
pahli bar jab wo tum ko apne panjon se
khurach rahi thi
kya tum ne hathiyar Dal diye the
ya apne aansuon mein ghol kar
us pani ko aasman par uchhaal diya tha
ye raaz ki baat hai
mohabbat kone-khudre mein paDi
sukhe niwale chabane mein lagi hai
us ke pas luab bhi nahin hai
niwale chabane ki aawaz kitne sal tumhaari ninden
KHarab karti rahi
aaKHir ye waqt aa gaya
ki udasi ke ghaw ne
pai-dar-pai tumhein ulTiyan karne par majbur kar diya
ulTiyan jo wahshaton ki khaDaon pahne
tumhaari chaukhaT se bahar jati logon ko nazar aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.