udhaar ke aansu
maiñ ne apne aañsū
baañT diye haiñ bādaloñ ko
aur
ye ab baraste haiñ to
mere āñsuoñ ko le kar
bahut minnat kī thī us ne merī
maiñ bhī
apnī āñkhoñ ke tamām āñsuoñ ko
us kī jholī meñ Daal kar
mutma.in ho ga.ī thī
aur merī āñkheñ
vo bhī ḳhushk ho ga.iiñ
ye ab kabhī nahīñ barastīñ
kisī kī ḳhātir
lekin bādal baraste haiñ
mere āñsuoñ ko le kar
main ne apne aansu
banT diye hain baadalon ko
aur
ye ab baraste hain to
mere aansuon ko le kar
bahut minnat ki thi us ne meri
main bhi
apni aankhon ke tamam aansuon ko
us ki jholi mein Dal kar
mutmain ho gai thi
aur meri aankhen
wo bhi KHushk ho gain
ye ab kabhi nahin barastin
kisi ki KHatir
lekin baadal baraste hain
mere aansuon ko le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.