uDne wale phul
aao dikhlā.eñ uḌne vaale phuul
is chaman meñ haiñ ye nirāle phuul
koī sabz aur koī gulābī hai
ātishī koī koī aabī hai
koī niilā hai aur koī piilā
jis ko dekho ġhazab kā rangīlā
chhiḌkī qudrat ne in par afshāñ hai
aañkh san.at pe in kī hairāñ hai
pattiyāñ do haiñ kā.enāt in kī
had se baḌh kar magar sifāt in kī
ghaas par dekho in kī ārā.ish
kaisī hai dil-fareb zebā.ish
narm nāzuk hare bhare tinke
jhuke jaate haiñ bojh se in ke
dekhnā tum na baḌhā denā haath
kahīñ in ko lagā na denā haath
yaañ se kar jā.eñge abhī parvāz
in kī hastī kā hogā ifshā raaz
shaad ho kar havā meñ kheleñge
is chaman kī fazā meñ kheleñge
ḳhuub aTkheliyāñ kareñge ye
naaz se shoḳhiyāñ kareñge ye
phuul samjhe hue the ham jin ko
log kahte haiñ titliyāñ in ko
aao dikhlaen uDne wale phul
is chaman mein hain ye nirale phul
koi sabz aur koi gulabi hai
aatishi koi koi aabi hai
koi nila hai aur koi pila
jis ko dekho ghazab ka rangila
chhiDki qudrat ne in par afshan hai
aankh sanat pe in ki hairan hai
pattiyan do hain kaenat in ki
had se baDh kar magar sifat in ki
ghas par dekho in ki aaraish
kaisi hai dil-fareb zebaish
narm nazuk hare bhare tinke
jhuke jate hain bojh se in ke
dekhna tum na baDha dena hath
kahin in ko laga na dena hath
yan se kar jaenge abhi parwaz
in ki hasti ka hoga ifsha raaz
shad ho kar hawa mein khelenge
is chaman ki faza mein khelenge
KHub aTkheliyan karenge ye
naz se shoKHiyan karenge ye
phul samjhe hue the hum jin ko
log kahte hain titliyan in ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.