Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ufuq-dar-ufuq

Shafiq Fatima Shera

ufuq-dar-ufuq

Shafiq Fatima Shera

MORE BYShafiq Fatima Shera

    simaTte phailte paiham sulagte aur dhuñdhlāte

    ufuq jab pai-ba-pai ubhreñ ufuq jab pai ba pai Dūbeñ

    to apnā kaam kyā hai naav apnī khete rahnā hai

    ufuq mehrāb dar mehrāb apne dvaar phailā.e

    ta.āqub ke ishāre barq ban kar kauñd jaate haiñ

    badal jaatī haiñ rāheñ dūriyāñ baḌhtī rahtī haiñ

    kabhī be-kārvāñ be-mash.al-o-shor-e-jaras chalnā

    qayāmat sahī phir bhī hameñ chalnā paḌtā hai

    ki chalnā hai muqaddar saath rahnā ik ināyat hai

    jise bin māñge dete aur le lete haiñ bin pūchhe

    zarā baat lekin āb-gīne TuuT jaate haiñ

    zarā baat pahroñ dil dukhātī hai satātī hai

    taġhāful go bhalā lagtā hai phir bhī to jaltā hai

    havā-e-intishār ik pal meñ tartībeñ zamānoñ

    ulaT detī hai kaise aur qazā-o-qadr ke hāthoñ

    yaqīñ ke jagmagāte muskurāte sūrajoñ se pur

    ufuq gard-o-gubār-e-rāh ban kar Duub jaate haiñ

    vo dekho pau phaTī añdhiyāre jādoñ ke shagāfoñ se

    ham us ko marhamat naam dete haiñ har ik shikva

    yahāñ aa kar pashemāñ hone vāloñ ko manātā hai

    alāvoñ ke qarīb baiThe hue kitnī ḳhunuk shāmeñ

    guzar jaatī haiñ jaise ḳhvāb guzre dil taḌaptā hai

    ki ye shāmeñ shaboñ meñ aur shabeñ ujle saveroñ ke

    tasalsul meñ guñdhī tūl-e-abad umr-e-ḳhizar pātīñ

    magar ye dā.era-dar-dā.era sachchā.iyāñ tauba

    hamesha raah meñ aatī rahīñ tanhā.iyāñ dene

    agar un lahū jam jaa.e apnī āstīnoñ par

    to bujh jaa.eñ ye sho.ale jāvedāñ raushan alāvoñ ke

    ufuq ke naqsh aur apnī shabīheñ sab miT jaa.eñ

    asāsa rāhguzaroñ thakan avval thakan āḳhir

    nazāre chashm-e-bīnā meñ jo aañsū ban ke rahte haiñ

    kasak jin chhupā.e se nahīñ chhuptī vo sab kāñTe

    alāvoñ ke qarīñ aksar junūn-e-ḳhud-numā.ī meñ

    kisī ik giit meñ ik dāstāñ meñ Dhalne lagte haiñ

    ye ġham kitnā ġhanīmat hai ye ġham hastī qīmat hai

    ki ham is ko sunāne aur sunñe meñ bahal jaa.eñ

    ufuq ke us taraf aur is taraf bikhrā huā imkāñ

    jise ham raah kahte the vo ik sapnā thā saudā thā

    navā-e-nā-shunīda ke saveroñ tak pahuñchne

    abad-āshām tanhā.ī vaadī paar karne

    alāvoñ ke qarīñ aane ik pyārā bahāna thā

    vo raqs-e-nik.hat-e-gul thā ki gardish meñ zamāna thā

    simaTte phailte paiham sulagte aur dhundhlate

    ufuq jab pai-ba-pai ubhren ufuq jab pai ba pai Duben

    to apna kaam kya hai naw apni khete rahna hai

    ufuq mehrab dar mehrab apne dwar phailae

    taaqub ke ishaare barq ban kar kaund jate hain

    badal jati hain rahen duriyan baDhti hi rahti hain

    kabhi be-karwan be-mashal-o-shor-e-jaras chalna

    qayamat hi sahi phir bhi hamein chalna hi paDta hai

    ki chalna hai muqaddar sath rahna ek inayat hai

    jise bin mange dete aur le lete hain bin puchhe

    zara si baat lekin aab-gine TuT jate hain

    zara si baat pahron dil dukhati hai satati hai

    taghaful go bhala lagta hai phir bhi ji to jalta hai

    hawa-e-intishaar ek pal mein tartiben zamanon ki

    ulaT deti hai kaise aur qaza-o-qadr ke hathon

    yaqin ke jagmagate muskuraate surajon se pur

    ufuq gard-o-gubar-e-rah ban kar Dub jate hain

    wo dekho pau phaTi andhiyare jadon ke shagafon se

    hum us ko marhamat ka nam dete hain har ek shikwa

    yahan aa kar pasheman hone walon ko manata hai

    alawon ke qarib baiThe hue kitni KHunuk shamen

    guzar jati hain jaise KHwab guzre dil taDapta hai

    ki ye shamen shabon mein aur shaben ujle saweron ke

    tasalsul mein gundhi tul-e-abad umr-e-KHizar patin

    magar ye daera-dar-daera sachchaiyan tauba

    hamesha rah mein aati rahin tanhaiyan dene

    agar un ka lahu jam jae apni aastinon par

    to bujh jaen ye shoale jawedan raushan alawon ke

    ufuq ke naqsh aur apni shabihen sab hi miT jaen

    asasa rahguzaron ka thakan awwal thakan aaKHir

    nazare chashm-e-bina mein jo aansu ban ke rahte hain

    kasak jin ki chhupae se nahin chhupti wo sab kanTe

    alawon ke qarin aksar junun-e-KHud-numai mein

    kisi ek git mein ek dastan mein Dhalne lagte hain

    ye gham kitna ghanimat hai ye gham hasti ki qimat hai

    ki hum is ko sunane aur sunne mein bahal jaen

    ufuq ke us taraf aur is taraf bikhra hua imkan

    jise hum rah kahte the wo ek sapna tha sauda tha

    nawa-e-na-shunida ke saweron tak pahunchne ka

    abad-asham tanhai ki wadi par karne ka

    alawon ke qarin aane ka ek pyara bahana tha

    wo raqs-e-nikhat-e-gul tha ki gardish mein zamana tha

    Source :
    • Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 338)
    • Author : Shafique Fatma Shora
    • Publication : Educational Publishing House (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now