ufuq-dar-ufuq
simaTte phailte paiham sulagte aur dhuñdlāte
ufuq jab pai-ba-pai ubhreñ ufuq jab pai-ba-pai Dūbeñ
to apnā kaam kyā hai naav apnī khete rahnā hai
ufuq mehrāb-dar-mehrāb apne dvaar phailā.e
ta.āqub ke ishāre barq ban kar kauñd jaate haiñ
badal jaatī haiñ rāheñ dūriyāñ baḌhtī hī rahtī haiñ
kabhī be-kārvāñ be-mash.al-o-shor-e-jaras chalnā
qayāmat hī sahī phir bhī hameñ chalnā hī paḌtā hai
ki chalnā hai muqaddar saath rahnā ik ināyat hai
jise bin māñge dete aur le lete haiñ bin pūchhe
zarā sī baat lekin ābgīne TuuT jaate haiñ
zarā sī baat pahroñ dil dikhātī hai satātī hai
taġhāful go bhalā lagtā hai phir bhī jī to jaltā hai
havā-e-intishār ik pal meñ tartībeñ zamānoñ kī
ulaT detī hai kaise aur qazā-o-qadr ke hāthoñ
yaqīñ ke jagmagāte muskurāte sūrajoñ se pur
ufuq gard-o-gubār-e-rāh ban kar Duub jaate haiñ
vo dekho po phaTī añdhiyāre jādoñ ke shagāfoñ se
ham is ko marhamat kā naam dete haiñ har ik shikva
yahāñ aa kar pashemāñ hone vāloñ ko manātā hai
alāvoñ ke qarīñ baiThe hue kitnī ḳhunuk shāmeñ
guzar jaatī haiñ jaise ḳhvāb guzre dil taḌaptā hai
ki shāmeñ shaboñ meñ aur shabeñ ujle saveroñ ke
tasalsul meñ guñdhī tūl-e-abad umr-e-ḳhizar pātīñ
magar ye dā.era-dar-dā.era sachchā.iyāñ tauba
hamesha raah meñ aatī raheñ tanhā.iyāñ dene
agar un kā lahū jam jaa.e apnī āstīnoñ par
to bujh jaa.eñ ye sho.ale jāvedāñ raushan alāvoñ ke
ufuq ke naqsh aur apnī shabīheñ sab hī miT jaa.eñ
asāsa rahguzāroñ kā thakan avval thakan āḳhir
nazāre chashm-e-bīnā meñ jo aañsū ban ke rahte haiñ
kasak jin kī chhupā.e se nahīñ chhuptī vo sab kāñTe
alāvoñ ke qarīñ aksar junūn-e-ḳhud-numā.ī meñ
kisī ik giit meñ ik dāstāñ meñ Dhalne lagte haiñ
ye ġham kitnā ġhanīmat hai ye ġham-e-hastī kī qīmat hai
ki ham is ko sunāne aur sunñe meñ bahal jaa.eñ
ufuq ke us taraf aur is taraf bikhrā huā imkāñ
jise hamrāh kahte the vo ik sapnā thā saudā thā
navā-e-nā-shunīda ke saveroñ tak pahuñchne kā
abad-āshām tanhā.ī kī vaadī paar karne kā
alāvoñ ke qarīñ aane kā ik pyārā bahāna thā
vo raqs-e-nik.hat-e-gul thā ki gardish meñ zamāna thā
simaTte phailte paiham sulagte aur dhundlate
ufuq jab pai-ba-pai ubhren ufuq jab pai-ba-pai Duben
to apna kaam kya hai naw apni khete rahna hai
ufuq mehrab-dar-mehrab apne dwar phailae
taaqub ke ishaare barq ban kar kaund jate hain
badal jati hain rahen duriyan baDhti hi rahti hain
kabhi be-karwan be-mashal-o-shor-e-jaras chalna
qayamat hi sahi phir bhi hamein chalna hi paDta hai
ki chalna hai muqaddar sath rahna ek inayat hai
jise bin mange dete aur le lete hain bin puchhe
zara si baat lekin aabgine TuT jate hain
zara si baat pahron dil dikhati hai satati hai
taghaful go bhala lagta hai phir bhi ji to jalta hai
hawa-e-intishaar ek pal mein tartiben zamanon ki
ulaT deti hai kaise aur qaza-o-qadr ke hathon
yaqin ke jagmagate muskuraate surajon se pur
ufuq gard-o-gubar-e-rah ban kar Dub jate hain
wo dekho po phaTi andhiyare jadon ke shagafon se
hum is ko marhamat ka nam dete hain har ek shikwa
yahan aa kar pasheman hone walon ko manata hai
alawon ke qarin baiThe hue kitni KHunuk shamen
guzar jati hain jaise KHwab guzre dil taDapta hai
ki shamen shabon mein aur shaben ujle saweron ke
tasalsul mein gundhi tul-e-abad umr-e-KHizar patin
magar ye daera-dar-daera sachchaiyan tauba
hamesha rah mein aati rahen tanhaiyan dene
agar un ka lahu jam jae apni aastinon par
to bujh jaen ye shoale jawedan raushan alawon ke
ufuq ke naqsh aur apni shabihen sab hi miT jaen
asasa rahguzaron ka thakan awwal thakan aaKHir
nazare chashm-e-bina mein jo aansu ban ke rahte hain
kasak jin ki chhupae se nahin chhupti wo sab kanTe
alawon ke qarin aksar junun-e-KHud-numai mein
kisi ek git mein ek dastan mein Dhalne lagte hain
ye gham kitna ghanimat hai ye gham-e-hasti ki qimat hai
ki hum is ko sunane aur sunne mein bahal jaen
ufuq ke us taraf aur is taraf bikhra hua imkan
jise hamrah kahte the wo ek sapna tha sauda tha
nawa-e-na-shunida ke saweron tak pahunchne ka
abad-asham tanhai ki wadi par karne ka
alawon ke qarin aane ka ek pyara bahana tha
wo raqs-e-nikhat-e-gul tha ki gardish mein zamana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.