ujala
merī hamdam, mire ḳhvāboñ kī sunahrī ta.abīr
muskurā de ki mire ghar meñ ujālā ho jaa.e
aañkh malte hue uTh jaa.e kiran bistar se
sub.h kā vaqt zarā aur suhānā ho jaa.e
mere nikhre hue gītoñ meñ tirā jaadū hai
maiñ ne meyār-e-tasavvur se banāyā hai tujhe
merī parvīn-e-taḳhayyul, mirī nasrīn-e-nigāh
maiñ ne taqdīs ke phūloñ se sajāyā hai tujhe
duudh kī tarah kuñvārī thī zamistāñ kī vo raat
jab tire shabnamī aariz ne dahaknā sīkhā
niiñd ke saa.e meñ har phuul ne añgḌā.ī lī
narm kaliyoñ ne tire dam se chaTaknā sīkhā
merī taḳh.īl kī jhankār ko sākit pā kar!
chūḌiyāñ terī kalā.ī meñ khanak uThtī thiiñ
uf mirī tishna-labī tishna-labī tishna-labī!
kachchī kaliyāñ tire hoñToñ kī mahak uThtī thiiñ
vaqt ke dast-e-girāñ-bār se māyūs na ho
kis ko ma.alūm hai kyā honā hai aur kyā ho jaa.e
merī hamdam, mire ḳhvāboñ kī sunahrī ta.abīr
muskurā de ki mire ghar meñ ujālā ho jaa.e
meri hamdam, mere KHwabon ki sunahri tabir
muskura de ki mere ghar mein ujala ho jae
aankh malte hue uTh jae kiran bistar se
subh ka waqt zara aur suhana ho jae
mere nikhre hue giton mein tera jadu hai
main ne meyar-e-tasawwur se banaya hai tujhe
meri parwin-e-taKHayyul, meri nasrin-e-nigah
main ne taqdis ke phulon se sajaya hai tujhe
dudh ki tarah kunwari thi zamistan ki wo raat
jab tere shabnami aariz ne dahakna sikha
nind ke sae mein har phul ne angDai li
narm kaliyon ne tere dam se chaTakna sikha
meri taKHil ki jhankar ko sakit pa kar!
chuDiyan teri kalai mein khanak uThti thin
uf meri tishna-labi tishna-labi tishna-labi!
kachchi kaliyan tere honTon ki mahak uThti thin
waqt ke dast-e-giran-bar se mayus na ho
kis ko malum hai kya hona hai aur kya ho jae
meri hamdam, mere KHwabon ki sunahri tabir
muskura de ki mere ghar mein ujala ho jae
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Roshni) (Pg. 84)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.