ujale banT dena tum
safar pe jab bhī niklo tum
diyā jab bhī jalāo tum
hamesha man meñ rakkho tum
diye kī lau baḌhānā hai
ujālā baañT denā hai
safar meñ jab baḌhoge tum
yaqīnan jaan loge tum
ujāle baañT dene se
safar meñ saath dene se
mohabbat saath rahne se
kabhī bhī kam nahīñ hotī masāfat man nahīñ chhūtī
na.ī kirneñ ubhartī haiñ
na.ī rāheñ bulātī haiñ
diye kī lau baḌhānā tum
mohabbat baañT denā tum
ujāle baañT denā tum
safar pe jab bhi niklo tum
diya jab bhi jalao tum
hamesha man mein rakkho tum
diye ki lau baDhana hai
ujala banT dena hai
safar mein jab baDhoge tum
yaqinan jaan loge tum
ujale banT dene se
safar mein sath dene se
mohabbat sath rahne se
kabhi bhi kam nahin hoti masafat man nahin chhuti
nai kirnen ubharti hain
nai rahen bulati hain
diye ki lau baDhana tum
mohabbat banT dena tum
ujale banT dena tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.