ujlat mein pashemani ka tazkira
ham kahīñ sā.at-e-be-bāl-o-parī
khol ke dam lete haiñ
reg-zāroñ se nikalte haiñ
ravānī le kar
aur utar jaate haiñ
gadrā.e hue paanī meñ
bas isī paanī meñ hai
apnī havas
apne chalan kā qissa
ye chalan
ḳhvāb-gah-hast se hotā huā
kāshāne talak jaatā hai
jis kī darzoñ se duā jhāñktī hai
aur ḳhilqat hai
ki ġhaflat-bhare pahroñ meñ havā māñgtī hai
hum kahin saat-e-be-baal-o-pari
khol ke dam lete hain
reg-zaron se nikalte hain
rawani le kar
aur utar jate hain
gadrae hue pani mein
bas isi pani mein hai
apni hawas
apne chalan ka qissa
ye chalan
KHwab-gah-hast se hota hua
kashane talak jata hai
jis ki darzon se dua jhankti hai
aur KHilqat hai
ki ghaflat-bhare pahron mein hawa mangti hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 101)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.