ujle mausamon ke log
vo ujle mausamoñ ke log
ujlī chāñdnī kā ruup
le ke dil ke āñganoñ meñ
phir se ik na.ī ummīd dene aa ga.e
unhīñ ke haath
apne dil kī kā.enāt
ik nayā vajūd phir se pā ga.ī
vo log
ujle mausamoñ ke log
rahnumā-o-rah-navard
zard zard raat ko
zaat kī kitāb ko
varaq varaq tamām likhne aa ga.e
ilāhī ye kitāb
jis ke har varaq pe ek ḳhvāb
yuuñ chamak rahā hai jaise āftāb
tū kare qubūl to ho kāmyāb
aur ham ujle mausamoñ ke saath
ujle din kā intizār kar sakeñ
ik na.ī kitāb likh sakeñ
wo ujle mausamon ke log
ujli chandni ka rup
le ke dil ke aanganon mein
phir se ek nai ummid dene aa gae
unhin ke hath
apne dil ki kaenat
ek naya wajud phir se pa gai
wo log
ujle mausamon ke log
rahnuma-o-rah-naward
zard zard raat ko
zat ki kitab ko
waraq waraq tamam likhne aa gae
ilahi ye kitab
jis ke har waraq pe ek KHwab
yun chamak raha hai jaise aaftab
tu kare qubul to ho kaamyab
aur hum ujle mausamon ke sath
ujle din ka intizar kar saken
ek nai kitab likh saken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.