ujli KHushbu
soch ke lamhe pyaar ke qisse muddat pahle
maiñ ne tum ne
basar kiye the
kal kī baat ye kyoñ lagtī hai
ab tak yaad hai sab kuchh mujh ko
āñkhoñ par hāthoñ ko rakh kar qasmeñ khāyā kartī
tujh ko dekhā jis sūrat meñ
ġhair na dekhūñgī
añdhiyāre meñ raushan saayā
Daalī ban ke lahrātī rang sameTe aatī
merā shāna terī shāmeñ
saare gaañv meñ ek diyā thā
jis kī oT meñ donoñ saa.e
baḌhte rahte
yaad hai mujh ko karmū baabā
zinda thā
sīḌhī uThā.e
tel kā Dibbā māñgī māchis
us ko dekh ke kahtā
shām-o-sahar hai karmū baabā
yaad hai tujh ko
kitne gharoñ meñ ghire do ghar the
kachche kachche
aur vo khambā jis ke nīche gaañv vaale māchā bichhā.e
chausar jamtī qahqahe lagte
sab se chorī tū ne maiñ ne kitne
rangīñ sapne bune the
vo lamha bhī yaad hai mujh ko karmū baabā sīḌhī uThā.e
saath ke gaañv chalā gayā
us din kitnī ḳhush thī
galī hai raushan
terā saayā merā saaya phail gayā
gaañv kī sachchī dīvāroñ ne muñh khole palaT ke tū ne dekhā
tire laboñ par chhāp lagī
chīḳh rahī thī
pakḌo us ko patthar maaro
rang do māthā kyoñ phirtā hai
merā pīchhā kartā hai
zehn kā iisā bantā hai
soch rahā huuñ terī bastī kyoñ aaya huuñ
ab bhī khambā vahīñ hai lekin
shahr meñ koī diyā nahīñ hai
soch ke lamhe pyar ke qisse muddat pahle
main ne tum ne
basar kiye the
kal ki baat ye kyon lagti hai
ab tak yaad hai sab kuchh mujh ko
aankhon par hathon ko rakh kar qasmen khaya karti
tujh ko dekha jis surat mein
ghair na dekhungi
andhiyare mein raushan saya
Dali ban ke lahraati rang sameTe aati
mera shana teri shamen
sare ganw mein ek diya tha
jis ki oT mein donon sae
baDhte rahte
yaad hai mujh ko karmu baba
zinda tha
siDhi uThae
tel ka Dibba mangi machis
us ko dekh ke kahta
sham-o-sahar hai karmu baba
yaad hai tujh ko
kitne gharon mein ghire do ghar the
kachche kachche
aur wo khamba jis ke niche ganw wale macha bichhae
chausar jamti qahqahe lagte
sab se chori tu ne main ne kitne
rangin sapne bune the
wo lamha bhi yaad hai mujh ko karmu baba siDhi uThae
sath ke ganw chala gaya
us din kitni KHush thi
gali hai raushan
tera saya mera saya phail gaya
ganw ki sachchi diwaron ne munh khole palaT ke tu ne dekha
tere labon par chhap lagi
chiKH rahi thi
pakDo us ko patthar maro
rang do matha kyon phirta hai
mera pichha karta hai
zehn ka isa banta hai
soch raha hun teri basti kyon aaya hun
ab bhi khamba wahin hai lekin
shahr mein koi diya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.