ukhaDte KHemon ka dard
kahīñ bhī jā-e-amāñ nahīñ hai
na raushnī meñ na tīrgī meñ
na zindagī meñ na ḳhud-kushī meñ
aqīde zaḳhmoñ se chuur paiham karāhte haiñ
yaqīn kī saañs ukhaḌ chalī hai
jamīl ḳhvāboñ ke chehra-e-ġham-zada se nāsūr ris rahā hai
aziiz qadroñ pe jāñ-kanī kī giraft mazbūt ho ga.ī hai
patañg kī tarah kaT chuke haiñ tamām rishte
jo aadmī ko qarīb karte the aadmī se
diloñ meñ qaus-e-quzah kī añgḌā.iyāñ jin se TūTtī thiiñ
na fard hī kā makāñ salāmat
na ijtimā.ī vajūd hī zer sā.ebāñ hai
koī ḳhudā thā to vo kahāñ hai?
koī ḳhudā hai to vo kahāñ hai?
muhīb tūfāñ muhīb-tar hai
pahāḌ tak ret kī tarah uḌ rahe haiñ
bas ek āvāz gūñjtī hai
''mujhe bachāo mujhe bachāo''
magar kahīñ bhī amaañ nahīñ hai
jo apnī kashtī pe bach rahegā
vahī alaihissalām hogā
kahin bhi ja-e-aman nahin hai
na raushni mein na tirgi mein
na zindagi mein na KHud-kushi mein
aqide zaKHmon se chur paiham karahte hain
yaqin ki sans ukhaD chali hai
jamil KHwabon ke chehra-e-gham-zada se nasur ris raha hai
aziz qadron pe jaan-kani ki giraft mazbut ho gai hai
patang ki tarah kaT chuke hain tamam rishte
jo aadmi ko qarib karte the aadmi se
dilon mein qaus-e-quzah ki angDaiyan jin se TuTti thin
na fard hi ka makan salamat
na ijtimai wajud hi zer saeban hai
koi KHuda tha to wo kahan hai?
koi KHuda hai to wo kahan hai?
muhib tufan muhib-tar hai
pahaD tak ret ki tarah uD rahe hain
bas ek aawaz gunjti hai
mujhe bachao mujhe bachao
magar kahin bhi aman nahin hai
jo apni kashti pe bach rahega
wahi alaihissalam hoga
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 190)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.