uktae hue badan
umr kī Dhaltī huī dopahar meñ
ThanDī havā ke jhoñke kā ehsās bhī
aadmī ko tāza-dam kar detā hai
aur agar sach-much ḳhunuk havā.eñ
thakan-nasīb jism se khelne lageñ
to shab kī tārīkī ḳhizāb jaisī dikhā.ī detī hai
ās-pās gardish kartā huā sannāTā
ārzūoñ kī gahmāgahmī se gūñjne lagtā hai
ḳhvāb ta.abīroñ kī talāsh meñ bhaTakne lagte haiñ
badan kī uktāhaTeñ chaupāl ke shor-sharābe meñ Duub jaatī haiñ
Dhalte hue sūraj kī laalī se suhāg joḌe kī ḳhushbū
aane lagtī hai
lekin ḳhvābīda ārzūoñ kī shāhrāh se guzarte hue
log
apnī manzil kā patā bhuul jaate haiñ
isī patā bhūlne ko samāj
dharm aur maz.hab kī aaḌ le kar
aisī ba-hūda gāliyāñ detā hai
jo tvāifoñ ke mohalloñ meñ bhī nahīñ
sunā.ī detīñ
umr ki Dhalti hui dopahar mein
ThanDi hawa ke jhonke ka ehsas bhi
aadmi ko taza-dam kar deta hai
aur agar sach-much KHunuk hawaen
thakan-nasib jism se khelne lagen
to shab ki tariki KHizab jaisi dikhai deti hai
aas-pas gardish karta hua sannaTa
aarzuon ki gahmagahmi se gunjne lagta hai
KHwab tabiron ki talash mein bhaTakne lagte hain
badan ki uktahaTen chaupal ke shor-sharabe mein Dub jati hain
Dhalte hue suraj ki lali se suhag joDe ki KHushbu
aane lagti hai
lekin KHwabida aarzuon ki shahrah se guzarte hue
log
apni manzil ka pata bhul jate hain
isi pata bhulne ko samaj
dharm aur mazhab ki aaD le kar
aisi ba-huda galiyan deta hai
jo twaifon ke mohallon mein bhi nahin
sunai detin
- Book : Shahdaba (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.