tū mire paas rahe maiñ tirī ulfat meñ fanā
jaise añgāroñ pe chhīñToñ se dhuāñ
bint-e-mahtāb ko haale meñ liye
to farozāñ ho magar saarī tapish merī ho
phaile aflāk meñ be-samt safar
saath meñ vaqt kā rahvār liye
jis taraf mauj-e-tamannā kah de
justujū shauq kā patvār liye
guftugū rabt ke ehsās se duur
ḳhāmushī rañj-e-mukāfāt se duur
chāñdnī kī kabhī sargoshī sī
phuul ke narm laboñ ko chūme
gard andesha ko shabnam dho de
qahqahe phūTīñ ta.ammul ke baġhair
nuur uble kabhī favvāroñ meñ
aur nuqte meñ simaT aa.e kabhī
tah-ba-tah khole ridā zulmat kī
apnī bebāk nigāhoñ se munavvar kar de
nuqta-e-vasl ye miTtā huā dhabba hī sahī
hosh bahtā hai to bah jaane de
tū mire paas rahe maiñ tirī ulfat meñ fanā
tu mere pas rahe main teri ulfat mein fana
jaise angaron pe chhinTon se dhuan
bint-e-mahtab ko haale mein liye
to farozan ho magar sari tapish meri ho
phaile aflak mein be-samt safar
sath mein waqt ka rahwar liye
jis taraf mauj-e-tamanna kah de
justuju shauq ka patwar liye
guftugu rabt ke ehsas se dur
KHamushi ranj-e-mukafat se dur
chandni ki kabhi sargoshi si
phul ke narm labon ko chume
gard andesha ko shabnam dho de
qahqahe phuTin tammul ke baghair
nur uble kabhi fawwaron mein
aur nuqte mein simaT aae kabhi
tah-ba-tah khole rida zulmat ki
apni bebak nigahon se munawwar kar de
nuqta-e-wasl ye miTta hua dhabba hi sahi
hosh bahta hai to bah jaane de
tu mere pas rahe main teri ulfat mein fana
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 37)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.