kis se pūchhūñ mere mālik
mere jism se mujh ko ab ye ḳhuun kī bū kyuuñ aatī hai
jabki koī zaḳhm nahīñ hai
ghaav nahīñ jo dikhtā ho
phir ye kaisī bū hai jo sāñsoñ meñ reñgtī rahtī hai
kapḌoñ se chimTī hai
mere darvāzoñ se dīvāroñ se
mez pe rakkhe aḳhbāroñ se ristī hai
kaise maiñ is ḳhuun kī baasī bū se chhuTkārā pā.ūñgā
ragaḌ ragaḌ kar ḳhud ko dekhā
kitne hī dariyāoñ meñ maiñ ġhota maar ke aayā lekin
ḳhuun kī boss baḌī ziddī hai
jā kar hī nahīñ detī hai
jabki koī zaḳhm na koī ghaav badan par hai mere
aisī kaun sī choT lagī thī
log to rozāna marte haiñ
rose hī ik gardan kaTtī hai
masjid meñ bam bāñdh ke koī roz navāfil paḌhtā hai
ye sab to ma.amūl hai lekin
mere jism se mujh ko phir ye ḳhuun kī bū kyuuñ aatī hai
jabki koī zaḳhm nahīñ hai ghaav nahīñ jo dikhtā ho
kis se puchhun mere malik
mere jism se mujh ko ab ye KHun ki bu kyun aati hai
jabki koi zaKHm nahin hai
ghaw nahin jo dikhta ho
phir ye kaisi bu hai jo sanson mein rengti rahti hai
kapDon se chimTi hai
mere darwazon se diwaron se
mez pe rakkhe aKHbaron se risti hai
kaise main is KHun ki basi bu se chhuTkara paunga
ragaD ragaD kar KHud ko dekha
kitne hi dariyaon mein main ghota mar ke aaya lekin
KHun ki boss baDi ziddi hai
ja kar hi nahin deti hai
jabki koi zaKHm na koi ghaw badan par hai mere
aisi kaun si choT lagi thi
log to rozana marte hain
rose hi ek gardan kaTti hai
masjid mein bam bandh ke koi roz nawafil paDhta hai
ye sab to mamul hai lekin
mere jism se mujh ko phir ye KHun ki bu kyun aati hai
jabki koi zaKHm nahin hai ghaw nahin jo dikhta ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.