uljhan
karoḌoñ chehre
aur un ke pīchhe
karoḌoñ chehre
ye rāste haiñ ki bhiḌ ke chhatte
zamīn jismoñ se Dhak ga.ī hai
qadam to kyā til bhī dharne kī ab jagah nahīñ hai
ye dekhtā huuñ to sochtā huuñ
ki ab jahāñ huuñ
vahīñ simaT ke khaḌā rahūñ maiñ
magar karūñ kyā
ki jāntā huuñ
ki ruk gayā to
jo bhiiḌ pīchhe se aa rahī hai
vo mujh ko pairoñ tale kuchal degī piis degī
to ab jo chaltā huuñ maiñ
to ḳhud mere apne pairoñ meñ aa rahā hai
kisī kā siina
kisī kā baazū
kisī kā chehra
chalūñ
to auroñ pe zulm Dhā.ūñ
rukūñ
to auroñ ke zulm jhelūñ
zamīr
tujh ko to naaz hai apnī munsifī par
zarā sunūñ to
ki aaj kyā terā faisla hai
karoDon chehre
aur un ke pichhe
karoDon chehre
ye raste hain ki bhiD ke chhatte
zamin jismon se Dhak gai hai
qadam to kya til bhi dharne ki ab jagah nahin hai
ye dekhta hun to sochta hun
ki ab jahan hun
wahin simaT ke khaDa rahun main
magar karun kya
ki jaanta hun
ki ruk gaya to
jo bhiD pichhe se aa rahi hai
wo mujh ko pairon tale kuchal degi pis degi
to ab jo chalta hun main
to KHud mere apne pairon mein aa raha hai
kisi ka sina
kisi ka bazu
kisi ka chehra
chalun
to auron pe zulm Dhaun
rukun
to auron ke zulm jhelun
zamir
tujh ko to naz hai apni munsifi par
zara sunun to
ki aaj kya tera faisla hai
- Book : Tarkash (Pg. 79)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.