uljhanen
aadmī aaj bhī sad-haif ki insān nahīñ
aisī uljhan hai sulajhne kā kuchh imkān nahīñ
kaif kyā jiine meñ jab kaif ke sāmān nahīñ
zindagī meñ koī naġhma nahīñ rūmān nahīñ
aaj bhī jism ke ambār haiñ bāzāroñ meñ
zar-parastī kī adā 'aam hai dil-dāroñ meñ
khankhanāte hue sikkoñ kā tarannum hai 'azīz
ġhair se ġhair-hijābāna takallum hai 'azīz
chaar paisoñ ke liye uf ye talātum hai 'azīz
aaj bhī jism ke ambār haiñ bāzāroñ meñ
ḳhvāja-e-shahr hai yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ
ufuq-e-dil pe mohabbat kī ghaTā.eñ na rahīñ
‘ishq-o-iḳhlās kī pākīza fazā.eñ na rahīñ
ab vo sahrā na rahe aur vo havā.eñ na rahīñ
qissa-e-qais to baaqī hai vafā.eñ na rahīñ
aaj bhī jism ke ambār haiñ bāzāroñ meñ
kaash aa jaa.e masīhā koī bīmāroñ meñ
aadmi aaj bhi sad-haif ki insan nahin
aisi uljhan hai sulajhne ka kuchh imkan nahin
kaif kya jine mein jab kaif ke saman nahin
zindagi mein koi naghma nahin ruman nahin
aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
zar-parasti ki ada 'am hai dil-daron mein
khankhanate hue sikkon ka tarannum hai 'aziz
ghair se ghair-hijabana takallum hai 'aziz
chaar paison ke liye uf ye talatum hai 'aziz
aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
KHwaja-e-shahr hai yusuf ke KHaridaron mein
ufuq-e-dil pe mohabbat ki ghaTaen na rahin
‘ishq-o-iKHlas ki pakiza fazaen na rahin
ab wo sahra na rahe aur wo hawaen na rahin
qissa-e-qais to baqi hai wafaen na rahin
aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
kash aa jae masiha koi bimaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.