uljhi sansen
us ne likhā thā kisī ko
mire bachche
ḳhāk-e-zar-gar meñ chhupe zarre haiñ
jin ko maiñ jaañ ke evaz sauñp rahī huuñ tum ko
mujh ko kuchh zinda khilaunoñ se mohabbat thī
jaise ainī kisī ham-sāya sahelī
ke khilaunoñ ko uThā laatī hai
aur so jaatī hai
siina se lagā kar un ko
daaġh jo ruuh meñ
jism pe hote to mujhe
log ik jaltā huā shahr samajhte
maiñ raakh maiñ kyā DhūñDhtā huuñ
to ne jalte hue dekhā thā use
daaġh the jism pe us ke jaise
tez jaltā huā mom
sham.a ke jism pe jam jaatā hai
jal bujhī
jal bujhī aur mujhe phūñk ga.ī
rishte uljhī huī sāñseñ haiñ magar
us kī sāñseñ to kisī aur kā sarmāya thiiñ
us ke jalne se mirī raakh kā rishta kyā thā
mujh ko ḳhvāboñ ne kabhī chain se sone na diyā
us ke hoñToñ ne jagāyā thā mirī āñkhoñ ko
daaġh bosoñ ke
laboñ par nahīñ rahte
lekin
ruuh par zaḳhm se ban jaate haiñ
to judā ho ga.ī jalte hue hoñToñ kī tarah
ye mirā ḳhat tujhe ik bosa-e-nādīda hai
us ne likha tha kisi ko
mere bachche
KHak-e-zar-gar mein chhupe zarre hain
jin ko main jaan ke ewaz saunp rahi hun tum ko
mujh ko kuchh zinda khilaunon se mohabbat thi
jaise aini kisi ham-saya saheli
ke khilaunon ko uTha lati hai
aur so jati hai
sina se laga kar un ko
dagh jo ruh mein
jism pe hote to mujhe
log ek jalta hua shahr samajhte
main rakh main kya DhunDhta hun
to ne jalte hue dekha tha use
dagh the jism pe us ke jaise
tez jalta hua mom
shama ke jism pe jam jata hai
jal bujhi
jal bujhi aur mujhe phunk gai
rishte uljhi hui sansen hain magar
us ki sansen to kisi aur ka sarmaya thin
us ke jalne se meri rakh ka rishta kya tha
mujh ko KHwabon ne kabhi chain se sone na diya
us ke honTon ne jagaya tha meri aankhon ko
dagh boson ke
labon par nahin rahte
lekin
ruh par zaKHm se ban jate hain
to juda ho gai jalte hue honTon ki tarah
ye mera KHat tujhe ek bosa-e-nadida hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 259)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.