ulTa chakkar
ajiib chakkar koī chalā hai
jo shai jahāñ se uThānā chāhī
uThā na paa.e
jahāñ jo rakkhā vahāñ vo rakkhā nahīñ rahā hai
jo likhnā chāhā vo likh na paa.e
tamām chakkar ulaT chalā hai
jo ḳhvāb ke dā.ere se bāhar thā us ne āñkhoñ se bair rakkhā
dil-o-nazar meñ jise jagah dī vo ḳhvāb ban kar bikhar gayā hai
nasīb meñ jo nahīñ thā us kī talāsh meñ zindagī lagā dī
jo haath meñ thā vo be-ḳhudī meñ diyā hai
jo baat kahnī thī us kī himmat juTā na paa.e
jo lab pe aayā vo harf hī ġhair ho gayā hai
ajib chakkar koi chala hai
jo shai jahan se uThana chahi
uTha na pae
jahan jo rakkha wahan wo rakkha nahin raha hai
jo likhna chaha wo likh na pae
tamam chakkar ulaT chala hai
jo KHwab ke daere se bahar tha us ne aankhon se bair rakkha
dil-o-nazar mein jise jagah di wo KHwab ban kar bikhar gaya hai
nasib mein jo nahin tha us ki talash mein zindagi laga di
jo hath mein tha wo be-KHudi mein diya hai
jo baat kahni thi us ki himmat juTa na pae
jo lab pe aaya wo harf hi ghair ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.