ulTi ho gain sab tadbiren
khet ke chāroñ samt lagā.ī
maiñ ne baaḌh ghane thohar kī
sochā samjhā ab ke maveshī
rauñd na pā.eñge fasloñ ko
khetī ab tārāj na hogī
dhartī ab sonā uglegī
bante bante baat banī thī
bigaḌ ga.ī lekin pal-bhar meñ
kaaT ke maiñ ne baaḌ kā thohar
apnī uñglī ḳhud kaaTī thī
khet ke rakhvāle thohar ne
haa.e ye haath uchhāle kaise
haa.e ye paañv nikāle kaise
pair bhī rakhnā ab mushkil hai
aisī fasl ugī hai ab ke
koī maveshī bhūle se bhī
khet kī jānib ruḳh nahīñ kartā
khet ke chaaron samt lagai
main ne baDh ghane thohar ki
socha samjha ab ke maweshi
raund na paenge faslon ko
kheti ab taraj na hogi
dharti ab sona uglegi
bante bante baat bani thi
bigaD gai lekin pal-bhar mein
kaT ke main ne baD ka thohar
apni ungli KHud kaTi thi
khet ke rakhwale thohar ne
hae ye hath uchhaale kaise
hae ye panw nikale kaise
pair bhi rakhna ab mushkil hai
aisi fasl ugi hai ab ke
koi maweshi bhule se bhi
khet ki jaanib ruKH nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.