umid
mujhe yaqīñ hai
ki tum kaun mehñdī se
jab mere adū kā naam
apnī ḳhūbsūrat kalā.ī par likhogī
to
merā ḳhayāl aate hī
āḳhir ek din
us manhūs ke naam par
ḳhud hī
baḌā sā kāñTā lagā dogī
aur dūsrī kalā.ī par
merā naam likh kar
use der tak chūmtī rahogī
maiñ us lamhe ke intizār meñ
mutabādil kalā.iyoñ kī jānib se mausūla
hazāroñ dil-pazīr āfrīñ
musalsal mustarad kiye jā rahā huuñ
kyūñki
duniyā ummīd par qaa.em hai
mujhe yaqin hai
ki tum kaun mehndi se
jab mere adu ka nam
apni KHubsurat kalai par likhogi
to
mera KHayal aate hi
aaKHir ek din
us manhus ke nam par
KHud hi
baDa sa kanTa laga dogi
aur dusri kalai par
mera nam likh kar
use der tak chumti rahogi
main us lamhe ke intizar mein
mutabaadil kalaiyon ki jaanib se mausula
hazaron dil-pazir aafrin
musalsal mustarad kiye ja raha hun
kyunki
duniya ummid par qaem hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.