ummid
chashm-e-hairat meñ
zaḳhmoñ aur lāshoñ kā jo samundar
Thahar Thahar kar Darā rahā hai
maiñ us ke sāhil pe baiThe baiThe aane vaale logoñ kī ḳhātir
do chaar nazmeñ likh rahā huuñ
agar meñ aisā na karūñ to
mujhe batāo ki kyā karūñ maiñ
ahd-e-hāzir ke ḳhushk dāman
surḳh lāshoñ se bhar ga.e haiñ
agar kuchh is ke sivā bachā hai to bas mashīnoñ kā shor sā hai
fazā meñ dhuāñ ghulā huā hai
maiñ un fazāoñ meñ ghaT rahā huuñ
do chaar nazmeñ likh rahā huuñ
agar maiñ aisā na karūñ to
mujhe batāo ki kyā karūñ maiñ
mere azīzo mere rafīqo
aao mil kar jatan kareñ ye
ummīd kī lau baḌhā.e rakkheñ
hasīn mausamoñ kī āhaToñ par
kaan apnā lagā.e rakkheñ
ufuq pe nazreñ jamā.e rakkheñ
ummīd rakhnā
yahāñ se ek din nayā saverā
na.e ujāloñ ke saath ho kar
na.ī umañgoñ ke haath thāme
mausamoñ ko badal hī degā
kaan apnā lagā.e
ufuq pe nazreñ jamā.e rakhnā
chashm-e-hairat mein
zaKHmon aur lashon ka jo samundar
Thahar Thahar kar Dara raha hai
main us ke sahil pe baiThe baiThe aane wale logon ki KHatir
do chaar nazmen likh raha hun
agar mein aisa na karun to
mujhe batao ki kya karun main
ahd-e-hazir ke KHushk daman
surKH lashon se bhar gae hain
agar kuchh is ke siwa bacha hai to bas mashinon ka shor sa hai
faza mein dhuan ghula hua hai
main un fazaon mein ghaT raha hun
do chaar nazmen likh raha hun
agar main aisa na karun to
mujhe batao ki kya karun main
mere azizo mere rafiqo
aao mil kar jatan karen ye
ummid ki lau baDhae rakkhen
hasin mausamon ki aahaTon par
kan apna lagae rakkhen
ufuq pe nazren jamae rakkhen
ummid rakhna
yahan se ek din naya sawera
nae ujalon ke sath ho kar
nai umangon ke hath thame
mausamon ko badal hi dega
kan apna lagae
ufuq pe nazren jamae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.