maiñ ne aksar inhīñ āñkhoñ ke darīche se tujhe
jhāñkte dekhā hai
jab laġhzish-e-anfās baḌhī
tund-o-pur-shor sadāoñ kā hujūm
nūr-afroz ḳhalāoñ se ham-āġhosh huā
maiñ ne aksar inhīñ āñkhoñ ke darīche meñ tujhe
Dūbte dekhā hai
jab talḳhī-e-ehsās ghaTī
ḳhāmushī raḳht-e-safar bāñdh chukī
tund-o-pur-shor sadāoñ kā hujūm
zulmat-añgez zamīñ-doz guphāoñ kā jigar
chiir ke
ūñghtī tanhā.ī meñ tahlīl huā
maiñ ne tū ne inhīñ āñkhoñ ke darīche ke qarīb
raushnī rote hue nuur ke mīnāroñ ko
ashk bante hue girte hue dekhā hai
to kyuuñ
āñdhiyāñ chalne lagīñ
ḳhauf se kaañp uThīñ baaz darīchoñ kī laveñ?
main ne aksar inhin aankhon ke dariche se tujhe
jhankte dekha hai
jab laghzish-e-anfas baDhi
tund-o-pur-shor sadaon ka hujum
nur-afroz KHalaon se ham-aghosh hua
main ne aksar inhin aankhon ke dariche mein tujhe
Dubte dekha hai
jab talKHi-e-ehsas ghaTi
KHamushi raKHt-e-safar bandh chuki
tund-o-pur-shor sadaon ka hujum
zulmat-angez zamin-doz guphaon ka jigar
chir ke
unghti tanhai mein tahlil hua
main ne tu ne inhin aankhon ke dariche ke qarib
raushni rote hue nur ke minaron ko
ashk bante hue girte hue dekha hai
to kyun
aandhiyan chalne lagin
KHauf se kanp uThin baz darichon ki lawen?
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.