ummid-o-na-umidi
do bahneñ haiñ
baḌā in meñ hai tazād
saath rahtī haiñ donoñ
baḌā hai in meñ ittifāq
dil chhalnī kiye detī hai ik
marham lagātī hai ik
qarīb maut ke laatī hai ik
paas zindagī ke le jaatī hai ik
saath rahtī haiñ donoñ
baḌā hai in meñ ittifāq
ik ko ummīd dūsrī ko nā-ummīdī kahte haiñ
kyoñ log kahte haiñ donoñ meñ bair hai
donoñ meñ dostī hai mohabbat hai
insāñ ko sañbhāle rahtī haiñ
do bahnen hain
baDa in mein hai tazad
sath rahti hain donon
baDa hai in mein ittifaq
dil chhalni kiye deti hai ek
marham lagati hai ek
qarib maut ke lati hai ek
pas zindagi ke le jati hai ek
sath rahti hain donon
baDa hai in mein ittifaq
ek ko ummid dusri ko na-ummidi kahte hain
kyon log kahte hain donon mein bair hai
donon mein dosti hai mohabbat hai
insan ko sanbhaale rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.