ummid
tum Thahro zarā
maiñ aatī huuñ
sūraj se nuur kī kirneñ le kar
kisī ma.asūm tifl ke laboñ se hañsī le kar
kisī ḳhushbū bhare jangal se
titliyāñ pakaḌ kar laatī huuñ
tum Thahro
maiñ aatī huuñ
shaam ke Dhalte manzar-nāme meñ
chand jugnū pakaḌne
maiñ to hamesha tanhā hī jaatī huuñ
raat aa.e to mat Darnā
sitāroñ se raste pūchh kar
tum ko batātī huuñ
ḳhvāb bharī in āñkhoñ ke vāste
niiñd bhī laatī huuñ
tum Thahro maiñ aatī huuñ
tum Thahro maiñ aatī huuñ
tum Thahro zara
main aati hun
suraj se nur ki kirnen le kar
kisi masum tifl ke labon se hansi le kar
kisi KHushbu bhare jangal se
titliyan pakaD kar lati hun
tum Thahro
main aati hun
sham ke Dhalte manzar-name mein
chand jugnu pakaDne
main to hamesha tanha hi jati hun
raat aae to mat Darna
sitaron se raste puchh kar
tum ko batati hun
KHwab bhari in aankhon ke waste
nind bhi lati hun
tum Thahro main aati hun
tum Thahro main aati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.