ummid uljhan
duur āñkhoñ se bahut duur, kahīñ
ik tasavvur hai, jo be-zār kiye rakhtā hai
vo koī ḳhvāb hai yā ḳhvāb kā andesha hai
jo mire soch ko mismār kiye rakhtā hai
duur, qismat kī lakīroñ se bahut duur, kahīñ
ek chehra hai, tire chehre se miltā-jultā
jo mujhe niiñd meñ bedār kiye rakhtā hai
duur se, aur bahut daur kī āvāzoñ se
ek āvāz bulātī hai sar-e-shām mujhe
jāntā huuñ maiñ mohabbat kī haqīqat lekin
phir bhī āġhosh-e-tamannā meñ, taḌap uThtā huuñ
chehre chehre pe bikhartī huii, āvāzoñ meñ
terī āvāz se āvāz kahāñ miltī hai
ek qindīl ḳhayāloñ kī magar jaltī hai
tū mire paas, bahut paas, kahīñ rahtī hai
duur hai duur bahut duur, magar phir bhii, mujhe
ek ummīd sar-e-shām sajā rakhtī hai
ek uljhan mujhe rātoñ ko jagā rakhtī hai
dur aankhon se bahut dur, kahin
ek tasawwur hai, jo be-zar kiye rakhta hai
wo koi KHwab hai ya KHwab ka andesha hai
jo mere soch ko mismar kiye rakhta hai
dur, qismat ki lakiron se bahut dur, kahin
ek chehra hai, tere chehre se milta-julta
jo mujhe nind mein bedar kiye rakhta hai
dur se, aur bahut daur ki aawazon se
ek aawaz bulati hai sar-e-sham mujhe
jaanta hun main mohabbat ki haqiqat lekin
phir bhi aaghosh-e-tamanna mein, taDap uThta hun
chehre chehre pe bikharti hui, aawazon mein
teri aawaz se aawaz kahan milti hai
ek qindil KHayalon ki magar jalti hai
tu mere pas, bahut pas, kahin rahti hai
dur hai dur bahut dur, magar phir bhi, mujhe
ek ummid sar-e-sham saja rakhti hai
ek uljhan mujhe raaton ko jaga rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.