unki taswir dekh kar
aaj kyā hai jo milā shoḳh nigāhoñ ko qarār?
kyā huā husn kī ma.asūm hayāoñ kā vaqār
aaj kyuuñ tum mujhe dekhe hī chale jaate ho?
daf.atan TuuT gayā kis liye bajtā huā saaz
kyā hue naġhme vo ab kyuuñ nahīñ aatī āvāz
aaj hoñToñ pe ḳhamoshī hī ḳhamoshī kyuuñ hai?
ḳhuub tadbīr nikālī hai manāne kī mujhe
ātish-e-soz-e-mohabbat meñ jalāne kī mujhe
bhole-bhāle ho to de do mire shikvoñ kā javāb
tum ne kyā peshtar apnā na banāyā mujh ko
phir yakāyak na nigāhoñ se girāyā mujh ko
ye agar jhuuT hai to muñh se kaho chup kyuuñ ho
tū ne ik dil ko mire dars-e-mohabbat na diyā
aur phir jaan ke dāġh-e-ġham-e-furqat na diyā
ye agar jhuuT hai to muñh se kaho, chup kyuuñ ho
tum ne kyā mujh se kisī qism kā va.ada na kiyā
ye agar jhuuT hai to muñh se kaho, chup kyuuñ ho?
de sake tum na mire ek bhī shikve kā javāb
ab maiñ samjhā ki hai kyā rāz-e-ba-dāmān-e-hijāb
vāqa.ī tum ko nadāmat hai jo ḳhāmosh ho tum
yā kisī parda-e-tasvīr meñ rū-posh ho tum!
aaj kya hai jo mila shoKH nigahon ko qarar?
kya hua husn ki masum hayaon ka waqar
aaj kyun tum mujhe dekhe hi chale jate ho?
dafatan TuT gaya kis liye bajta hua saz
kya hue naghme wo ab kyun nahin aati aawaz
aaj honTon pe KHamoshi hi KHamoshi kyun hai?
KHub tadbir nikali hai manane ki mujhe
aatish-e-soz-e-mohabbat mein jalane ki mujhe
bhole-bhaale ho to de do mere shikwon ka jawab
tum ne kya peshtar apna na banaya mujh ko
phir yakayak na nigahon se giraya mujh ko
ye agar jhuT hai to munh se kaho chup kyun ho
tu ne ek dil ko mere dars-e-mohabbat na diya
aur phir jaan ke dagh-e-gham-e-furqat na diya
ye agar jhuT hai to munh se kaho, chup kyun ho
tum ne kya mujh se kisi qism ka wada na kiya
ye agar jhuT hai to munh se kaho, chup kyun ho?
de sake tum na mere ek bhi shikwe ka jawab
ab main samjha ki hai kya raaz-e-ba-daman-e-hijab
waqai tum ko nadamat hai jo KHamosh ho tum
ya kisi parda-e-taswir mein ru-posh ho tum!
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 335)
- Publication : Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.