ungliyon ki rekhaen
jab tumhārī yaad aa.ī
uñgliyoñ ko jumbish dī
saal maah aur hafte
din pahar ghaḌī lamhe
uñgliyoñ pe gin Daale
aur dil ko samjhāyā
itne saal biite haiñ itne saal baaqī haiñ
aur phir tasallī dī
itne saal bīteñ to un se phir milan hogā
lekin ab kahāñ mumkin
aur dil ko samjhānā
ghis ga.iiñ haiñ gin gin kar
uñgliyoñ kī rekhā.eñ
jab tumhaari yaad aai
ungliyon ko jumbish di
sal mah aur hafte
din pahar ghaDi lamhe
ungliyon pe gin Dale
aur dil ko samjhaya
itne sal bite hain itne sal baqi hain
aur phir tasalli di
itne sal biten to un se phir milan hoga
lekin ab kahan mumkin
aur dil ko samjhana
ghis gain hain gin gin kar
ungliyon ki rekhaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.