unhen DhunDo
unheñ DhūñDho safar kī shaam se pahle
kisī anjām se pahle
unheñ DhūñDo
jo milne kī ghaḌī meñ
ham se bichhḌe the
diloñ se phūTte is ġham se bichhḌe the
jo āñkheñ ḳhushk rakhtā hai
magar dahlīz-e-jāñ tak
pāniyoñ ko chhoḌ jaatā hai
jo rasta dil kī galiyoñ se nikaltā ho
usī raste kī har ik samt ko
vo moḌ jaatā hai
masarrat kī harī shāḳhoñ ko aa kar toḌ jaatā hai
unheñ DhūñDo
udāsī kī kitāboñ se
tamannā ke nisāboñ meñ likhī
tahrīr ke mafhūm se
jis meñ udāsī ne
ḳhud apnī bebasī kā baab likkhā thā
shu.ūr-e-zāt kā
dhundlā sā ik ehsās likkhā thā
unheñ DhūñDo
judā.ī kī galī meñ
lauT aane kā sandesa chhoḌ kar
ruḳhsat hue the jo
charāġhoñ ne jinheñ
is āḳhirī saa.at meñ dekhā thā
ki jab un kī laveñ bujhne lagī thiiñ
aur jab ḳhud meñ mukammal ho rahe the
unheñ DhūñDo jo āñkhoñ se
faqat ik ḳhvāb kī
duurī pe rahte haiñ
jinheñ āñkheñ
hazāroñ saal kī furqat ko
oḌhe DhūñDtī haiñ
hamesha jāgtī haiñ
unhen DhunDho safar ki sham se pahle
kisi anjam se pahle
unhen DhunDo
jo milne ki ghaDi mein
hum se bichhDe the
dilon se phuTte is gham se bichhDe the
jo aankhen KHushk rakhta hai
magar dahliz-e-jaan tak
paniyon ko chhoD jata hai
jo rasta dil ki galiyon se nikalta ho
usi raste ki har ek samt ko
wo moD jata hai
masarrat ki hari shaKHon ko aa kar toD jata hai
unhen DhunDo
udasi ki kitabon se
tamanna ke nisabon mein likhi
tahrir ke mafhum se
jis mein udasi ne
KHud apni bebasi ka bab likkha tha
shuur-e-zat ka
dhundla sa ek ehsas likkha tha
unhen DhunDo
judai ki gali mein
lauT aane ka sandesa chhoD kar
ruKHsat hue the jo
charaghon ne jinhen
is aaKHiri saat mein dekha tha
ki jab un ki lawen bujhne lagi thin
aur jab KHud mein mukammal ho rahe the
unhen DhunDo jo aankhon se
faqat ek KHwab ki
duri pe rahte hain
jinhen aankhen
hazaron sal ki furqat ko
oDhe DhunDti hain
hamesha jagti hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 116)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.