unwan muhajir
yahāñ par sab muhājir haiñ
ye denā ik sarā.e hai
sarā.e kā agar matlab tumheñ ma.alūm ho jaa.e
tum apnī ḳhvāhishāt-e-qalb ko dafnā ke rakkhoge
ibādat ke kafan se ruuh ko kafnā ke rakkhoge
sarā.e lafz kā matlab luġhat meñ mil hī jā.egā
agar tum paḌh nahīñ sakte suno phir maiñ batātā huuñ
sarā.e us ko kahte haiñ
jahāñ manzil ko paane kī tamanna meñ muhājir Thahar jaate haiñ
karoḌoñ roz aate haiñ karoḌoñ roz jaate haiñ
jahāñ par mustaqil rahne kī hasrat sab ko hotī hai
magar koī jahāñ par mustaqil rah hī nahīñ saktā
kise kis vaqt aanā hai kise kis vaqt jaanā hai
jahāñ par sab muqarrar ho
kyā tum ab bhī nahīñ samjhe
ye duniyā ik sarā.e hai jo faanī hai
ye sab miT jaane vaalā hai
hamesha baaqī rahne kā tasavvur kar nahīñ sakte
hamesha baaqī rahne kī jo bāteñ karte rahte the
jo apne aap ko mālik batāte the sarā.e kā
na jaane aise kitne nāmvar hijrat yahāñ se kar chuke pyāre
yahāñ se ik na ik din sab ko hijrat kar ke jaanā hai
koī pahle to koī baa'd meñ lekin yahī sach hai
koī samjhe yā na samjhe
magar merī samajh meñ aa gayā 'mahvar'
yahāñ par sab muhājir haiñ
ye duniyā ik sarā.e hai
yahan par sab muhajir hain
ye dena ek sarae hai
sarae ka agar matlab tumhein malum ho jae
tum apni KHwahishat-e-qalb ko dafna ke rakkhoge
ibaadat ke kafan se ruh ko kafna ke rakkhoge
sarae lafz ka matlab lughat mein mil hi jaega
agar tum paDh nahin sakte suno phir main batata hun
sarae us ko kahte hain
jahan manzil ko pane ki tamanna mein muhajir Thahar jate hain
karoDon roz aate hain karoDon roz jate hain
jahan par mustaqil rahne ki hasrat sab ko hoti hai
magar koi jahan par mustaqil rah hi nahin sakta
kise kis waqt aana hai kise kis waqt jaana hai
jahan par sab muqarrar ho
kya tum ab bhi nahin samjhe
ye duniya ek sarae hai jo fani hai
ye sab miT jaane wala hai
hamesha baqi rahne ka tasawwur kar nahin sakte
hamesha baqi rahne ki jo baaten karte rahte the
jo apne aap ko malik batate the sarae ka
na jaane aise kitne namwar hijrat yahan se kar chuke pyare
yahan se ek na ek din sab ko hijrat kar ke jaana hai
koi pahle to koi ba'd mein lekin yahi sach hai
koi samjhe ya na samjhe
magar meri samajh mein aa gaya 'mahwar'
yahan par sab muhajir hain
ye duniya ek sarae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.