uphaar-e-raksha-bandhan
prem jagat ke rahne vaalo prem se rishta joḌo
hirdai hai parbhū kā Derā use kabhī na toḌo
ulTī gangā bahtī hai bahne do us ko chhoḌo
apne jīvan dhārā ko tum sīdhe ruḳh par moḌo
karam karegā jo achchhā achchhā.ī pe vo maregā
aur burā koī jo karegā vaisā hī vo bharegā
pun kyā hai jo bhī kisī ne us ko to vo milegā
baaġh meñ us ke jīvan ke vo ban kar phuul khulegā
hindū muslim sikh īsā.ī sab haiñ bhaa.ī bhaa.ī
bhā nahīñ saktī kabhī kisī ko ik-dūje kī judā.ī
aaj hai rakshā-bandhan kā din hai ye kitnā suhānā
bhā.ī-bahan ke prem kā ye din sab ko sunā.e fasāna
shīlā ne arshad kī le lī jā ke haath meñ kalā.ī
phir ye bolī rakshā-bandhan aaj hī hai mire bhaa.ī
pyaar bharā ye haath jo rakh do sar par aaj hamāre
har dukh har ġham duur ho jaa.e ḳhushiyāñ aa.e dvāre
pyaar hī puujā pyaar ibādat pyaar se rishta joḌo
har dukh har ġham duur ho jaa.e ḳhushiyāñ aa.e dvāre
zainab bhī rāhul ke haath meñ bāñdh ke bolī rākhī
dukh-sañkaT ke sāgar kī nayyā kā tū hai mājhī
pavitra prem kā jag meñ dekho kaisā ye uphār hai
isī pyaar aur prem se bhayyā sukh-may ye sansār hai
kabhī kisī bhī bahan pe bhayyā sankaT aa nahīñ paa.e
phuul na hargiz kabhī kisī kī ḳhushiyoñ ke murjhā.e
siitā giitā shabnam shāhīñ meñ hai bhed na bhaav
chāroñ kā hai ek charitra aur sab kā ek subhāv
buuñd lahū kī ek ragoñ meñ tan bhī ek samān
prem paaTh paḌhāyā sab ne giitā ho yā purān
ho har din rakshā-bandhan kā sab prem kī jot jalā.eñ
prem kī ḳhushbū se mahke ghar āñgan chāroñ dishā.eñ
prem jagat ke rahne walo prem se rishta joDo
hirdai hai parbhu ka Dera use kabhi na toDo
ulTi ganga bahti hai bahne do us ko chhoDo
apne jiwan dhaara ko tum sidhe ruKH par moDo
karam karega jo achchha achchhai pe wo marega
aur bura koi jo karega waisa hi wo bharega
pun kya hai jo bhi kisi ne us ko to wo milega
bagh mein us ke jiwan ke wo ban kar phul khulega
hindu muslim sikh isai sab hain bhai bhai
bha nahin sakti kabhi kisi ko ik-duje ki judai
aaj hai raksha-bandhan ka din hai ye kitna suhana
bhai-bahan ke prem ka ye din sab ko sunae fasana
shila ne arshad ki le li ja ke hath mein kalai
phir ye boli raksha-bandhan aaj hi hai mere bhai
pyar bhara ye hath jo rakh do sar par aaj hamare
har dukh har gham dur ho jae KHushiyan aae dware
pyar hi puja pyar ibaadat pyar se rishta joDo
har dukh har gham dur ho jae KHushiyan aae dware
zainab bhi rahul ke hath mein bandh ke boli rakhi
dukh-sankaT ke sagar ki nayya ka tu hai majhi
pawitra prem ka jag mein dekho kaisa ye uphaar hai
isi pyar aur prem se bhayya sukh-may ye sansar hai
kabhi kisi bhi bahan pe bhayya sankaT aa nahin pae
phul na hargiz kabhi kisi ki KHushiyon ke murjhae
sita gita shabnam shahin mein hai bhed na bhaw
chaaron ka hai ek charitra aur sab ka ek subhaw
bund lahu ki ek ragon mein tan bhi ek saman
prem paTh paDhaya sab ne gita ho ya puran
ho har din raksha-bandhan ka sab prem ki jot jalaen
prem ki KHushbu se mahke ghar aangan chaaron dishaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.