urdu
ġhazloñ ke ai shahanshāh 'mīr'-e-jahān-e-urdu
baaqī nahīñ jahāñ meñ nām-o-nishān-e-urdu
ḳhūn-e-jigar se tū ne jis reḳhta ko sīñchā
aalam meñ naza.a ke hai miltā nahīñ masīhā
jis baaġh meñ palī thī us meñ sabhī ne maslā
jis gulsitāñ kī jaañ thī us meñ bhī ab hai rusvā
jis kī zabānoñ par hai kam aise rah ga.e haiñ
bahvaT meñ vaqt hī kī sab log bah ga.e haiñ
ahl-e-zabāñ ne chhoḌā dānish-var uTh rahe haiñ
rusvā.ī hai muqaddar jis samt bhī ga.e haiñ
ġhazloñ ke ai shahanshāh 'mīr'-e-jahān-e-urdu
baaqī nahīñ jahāñ meñ nām-o-nishān-e-urdu
ghazlon ke ai shahanshah 'mir'-e-jahan-e-urdu
baqi nahin jahan mein nam-o-nishan-e-urdu
KHun-e-jigar se tu ne jis reKHta ko sincha
aalam mein naza ke hai milta nahin masiha
jis bagh mein pali thi us mein sabhi ne masla
jis gulsitan ki jaan thi us mein bhi ab hai ruswa
jis ki zabanon par hai kam aise rah gae hain
bahwaT mein waqt hi ki sab log bah gae hain
ahl-e-zaban ne chhoDa danish-war uTh rahe hain
ruswai hai muqaddar jis samt bhi gae hain
ghazlon ke ai shahanshah 'mir'-e-jahan-e-urdu
baqi nahin jahan mein nam-o-nishan-e-urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.