urdu hindi
hindostāñ hamārā
sundar hai aur pyārā
dhartī hai ye hamārī
ye svarg hai hamārā
jis tarah gañgā jamunā
do naddiyāñ haiñ pyārī
aisī hī gañgā-jamanī
tahzīb hai hamārī
jis tarah hindū muslim
raunaq haiñ is chaman kī
aise hī hindī urdu
do bahneñ haiñ vatan kī
ik maañ kī kokh se hī
paidā huī haiñ donoñ
tahzīb-e-gañgā-jamnī
le kar baḌhī haiñ donoñ
sīkhī haiñ bolnā ye
ḳhusrav ke āstāñ meñ
phailī haiñ ḳhushbū ban kar
ab saare gulistāñ meñ
hindostāñ se chal kar
phailīñ jahāñ meñ donoñ
sab des-vāsiyoñ kī
pyārī zabāñ haiñ donoñ
urdu ho chāhe hindī
donoñ ko ḳhuub paḌhnā
kar ke paḌhā.ī ūñchī
jīvan meñ aage baḌhnā
donoñ haiñ mīThī mīThī
donoñ se pyaar karnā
muñh se lagā ke rakhnā
dil se dulār karnā
hindī zabān kī jai
urdu zabān kī jai
hindostān kī jai
saare jahān kī jai
hindostan hamara
sundar hai aur pyara
dharti hai ye hamari
ye swarg hai hamara
jis tarah ganga jamuna
do naddiyan hain pyari
aisi hi ganga-jamani
tahzib hai hamari
jis tarah hindu muslim
raunaq hain is chaman ki
aise hi hindi urdu
do bahnen hain watan ki
ek man ki kokh se hi
paida hui hain donon
tahzib-e-ganga-jamni
le kar baDhi hain donon
sikhi hain bolna ye
KHusraw ke aastan mein
phaili hain KHushbu ban kar
ab sare gulistan mein
hindostan se chal kar
phailin jahan mein donon
sab des-wasiyon ki
pyari zaban hain donon
urdu ho chahe hindi
donon ko KHub paDhna
kar ke paDhai unchi
jiwan mein aage baDhna
donon hain miThi miThi
donon se pyar karna
munh se laga ke rakhna
dil se dular karna
hindi zaban ki jai
urdu zaban ki jai
hindostan ki jai
sare jahan ki jai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.