urdu hindi
urdu zabāñ kā sher ho hindī kā yā bachan
jauhar-shanās ke liye yaksāñ hai har suḳhan
suufī manāyā aaj yuuñ urdu kā yaum hai
zinda zabāñ hai jis kī vahī zinda qaum hai
miTne na paa.e urdu zabāñ desh se kabhī
har-dil-azīz ye rahe aa.e na kuchh kamī
urdu o hindī donoñ hī māñ-jā.ī do bahan
donoñ hasīñ haiñ donoñ kī ye ek sī phaban
haiñ māder-e-vatan ke liye donoñ sīm-tan
maañ kī nazar meñ donoñ kī hai dīdanī phaban
donoñ ke rang-rūp se gulzār hai chaman
ik ek se ziyāda hai ik ek kī phaban
bāġh-e-vatan meñ yāsmīñ hai ek yāsman
donoñ ke bū se miTte haiñ ranj-o-ġham-o-mehan
donoñ se bāġhbāñ kī mohabbat hai ek sī
gulchīñ se is liye use hai saḳht dushmanī
jism-e-ḳhayāl ke liye donoñ haiñ pairahan
qaid-e-libās hai abas sundar ho gar badan
miT jaa.e urdu ho nahīñ saktā hai ye kabhī
ye koshish-e-nāpāk hai be-sūd ai 'sūfī'
urdu zaban ka sher ho hindi ka ya bachan
jauhar-shanas ke liye yaksan hai har suKHan
sufi manaya aaj yun urdu ka yaum hai
zinda zaban hai jis ki wahi zinda qaum hai
miTne na pae urdu zaban desh se kabhi
har-dil-aziz ye rahe aae na kuchh kami
urdu o hindi donon hi man-jai do bahan
donon hasin hain donon ki ye ek si phaban
hain mader-e-watan ke liye donon sim-tan
man ki nazar mein donon ki hai didani phaban
donon ke rang-rup se gulzar hai chaman
ek ek se ziyaada hai ek ek ki phaban
bagh-e-watan mein yasmin hai ek yasman
donon ke bu se miTte hain ranj-o-gham-o-mehan
donon se baghban ki mohabbat hai ek si
gulchin se is liye use hai saKHt dushmani
jism-e-KHayal ke liye donon hain pairahan
qaid-e-libas hai abas sundar ho gar badan
miT jae urdu ho nahin sakta hai ye kabhi
ye koshish-e-napak hai be-sud ai 'sufi'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.