urdu
ḳhitta-e-arz pe kyā shaan hai terī urdu
tū mirī ziist kā armān hai merī urdu
tujh ko baḳhshā gayā duniyā meñ mua.allā kā ḳhitāb
tū vo jauhar hai ki terā nahīñ duniyā meñ javāb
gulshan-e-dahr meñ maujūd hai ḳhushbū kī tarah
tū hai sahrā-e-ḳhayālāt meñ aahū kī tarah
terī azmat koī 'ashraf' kī zabāñ se pūchhe
nafs-e-mazmūñ tirā 'ḳhusrav' ke bayāñ se pūchhe
yuuñ to kahne ko vatan hai tirā ye barr-e-saġhīr
magar ai lailā-e-jāñ terā har ik dil hai asiir
tujh pe nāzāñ thī qulī 'qutb' ke jazbāt kī rau
kabhī dillī to kabhī lakhna.ū pahuñchī tirī zau
tujh ko e.azāz-e-ajab shāhjahāñ ne baḳhshā
lutf-e-shā.istagī 'saudā' kī zabāñ ne baḳhshā
aa gayā dil meñ tire 'mīr-taqī-mīr' kā soz
de gayā dard kī lazzat tujhe 'dil-gīr' kā soz
'momin'-o-'zauq' ke afkār tujhe raas aa.e
zehn-e-'ġhālib' ke ḳhayālāt tire paas aa.e
aa gayā tere kaf-e-dast meñ aalam kā zamīr
kar ga.e tujh ko sar-afrāz 'anīs' aur 'dabīr'
'dāġh' ne tujh ko diye ishq ke andāz na.e
fikr-e-'iqbāl' se kyā kyā na mile raaz na.e
'josh' kī sho.ala-bayānī ne tujhe dī vus.at
'ārzū' kī hama-dānī ne tujhe dī vaq.at
kar gayā tujh ko buland 'āl-e-razā' kā uslūb
de gayā lahja-e-nau 'faiz' kā dhīmā uslūb
shādī-o-ġham meñ tujhe yaad kiyā karte haiñ
terī āvāz meñ fariyād kiyā karte haiñ
KHitta-e-arz pe kya shan hai teri urdu
tu meri zist ka arman hai meri urdu
tujh ko baKHsha gaya duniya mein mualla ka KHitab
tu wo jauhar hai ki tera nahin duniya mein jawab
gulshan-e-dahr mein maujud hai KHushbu ki tarah
tu hai sahra-e-KHayalat mein aahu ki tarah
teri azmat koi 'ashraf' ki zaban se puchhe
nafs-e-mazmun tera 'KHusraw' ke bayan se puchhe
yun to kahne ko watan hai tera ye barr-e-saghir
magar ai laila-e-jaan tera har ek dil hai asir
tujh pe nazan thi quli 'qutb' ke jazbaat ki rau
kabhi dilli to kabhi lakhnau pahunchi teri zau
tujh ko eazaz-e-ajab shahjahan ne baKHsha
lutf-e-shaistagi 'sauda' ki zaban ne baKHsha
aa gaya dil mein tere 'mir-taqi-mir' ka soz
de gaya dard ki lazzat tujhe 'dil-gir' ka soz
'momin'-o-'zauq' ke afkar tujhe ras aae
zehn-e-'ghaalib' ke KHayalat tere pas aae
aa gaya tere kaf-e-dast mein aalam ka zamir
kar gae tujh ko sar-afraaz 'anis' aur 'dabir'
'dagh' ne tujh ko diye ishq ke andaz nae
fikr-e-'iqbaal' se kya kya na mile raaz nae
'josh' ki shoala-bayani ne tujhe di wusat
'arzu' ki hama-dani ne tujhe di waqat
kar gaya tujh ko buland 'al-e-raza' ka uslub
de gaya lahja-e-nau 'faiz' ka dhima uslub
shadi-o-gham mein tujhe yaad kiya karte hain
teri aawaz mein fariyaad kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.